Four Lines Poetry
Ranjish.com has lots of Urdu Four Lines Poetry Poetry. Feel free to add your own Four Lines Poetry Shayari here.Four Lines Poetry Collection
Four Lines Poetry is poetry in four lines. Four Lines Shayari is a kind of urdu poetry in only four lines. Lots of Four Lines Poetry is added each day.
Na theen aur koi bi Ranjishain..
Four Lines Poetry
Na theen aur koi bi Ranjishain,
Sirf Aadaton mein tazaad tha..!!
Ke Usey pasand theen Shokhiyaan,
Mujhe saadgi main kamal tha..!!
Khushiyon ki baraat adhoori chorr gaye ho ?
Four Lines Poetry
Khushiyon ki baraat adhoori chorr gaye ho,
Saajan dil ki baat adhoori chorr gaye ho,
Logon ki takmeel ka baye’s ban‘ne wale,
Kyun-kar meri zaat adhoori chorr gaye ho…
Mahobbat me kuchh is tarah “wafa” karu..
Four Lines Poetry
Mahobbat me kuchh is tarah “wafa” karu,
Woh bhul b jae to me “yaad” karu,
Mahobbat ne bas itna “sikhaya” he muje,
K khud se pehle unke liye “dua” karu..
Ye wafa ka silaa hai
Four Lines Poetry
Ye wafa ka silaa hai to koi baat nahi,
Ye dard apno ne diya hai to koi baat nahi,
Yehi bahut hai ki vo dekh rahe hai kinare se,
Hum dub rahe hai to koi baat nahi…..
Chahta Hun Ke Bhool Jaon Tumhain
Four Lines Poetry
Chahta Hun Ke Bhool Jaon Tumhain
Aur Khud Bhee Na Yaad Aaon Tumhain
Jaisay Tum Sirf Ek Kahaani Thi
Jaisay Mein Sirf Ek Fasaana Tha
Tu Chala Gaya Mujhe chhor kar
Four Lines Poetry
Tu Chala Gaya Mujhe chhor kar,
Maine phir bhi Tujhko Sadaayen dii,
Mere HumSafar tu ruka Nahi,
Ye Meri Sada ki Shikast hai…
Baat umar bhar ki thi, Do pal ki nahin..
Four Lines Poetry
Baat umar bhar ki thi, Do pal ki nahin,
Baat sath ki thi, Halaat ki ki nahin,
Jahan ke mailay mein hath chor diya tu ne,
Baat zubaan ki thi, Kismat ki nahin..
Meri HATHELI bhi tum apne pas rakh lo..
Four Lines Poetry
Meri HATHELI bhi tum apne pas rakh lo,
Jab dua mango to isko bhi utha dena,
Khushi mile to apne haath aage kar dena,
Gham mile to meri HATHELI me thama dena..
Dil yu hi kisipe aata nahi
Four Lines Poetry
Dil yu hi kisipe aata nahi,
har baat ki wajah me batata nahi,
dil chahata hai jaane usko hi kyun,
ye mein khud bhi abtak jaanta nahi
Bikhar gaye hain Mera intezar karte huye
Four Lines Poetry
Mere firaaq ke lamhe shumaar karte huye,
Bikhar gaye hain Mera intezar karte huye,
Main ny kaha samandar hain mari ankhon mein,
Woh inn mein doob gaya aitebaar karte hue..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Four Lines Poetry.