Ghazal Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel free to add your own Ghazal Shayari Shayari here.

Ghazal Shayari Collection

Ghazal Poetry is a form or poetry which is little longer than other forms of poetry and contains more words.. Urdu Ghazal Shayari and Ghazal Poetry are the keywords this shayari is searched with.Ghazal Poetry is mostly written in 6 to 10 lines.



Bheer main chaaron taraf chehre anjane mile

Ghazal Shayari

Bheer main chaaron taraf chehre anjane mile
Mere apne aaj mujh se ban ke begane mile

Tha bharosa doston par itna ke mujh se na pooch
Jin ke hathon main they pathar log pehchane mile

Ban ke marham waqt hi bharta hai har ek zakham ko
Jesey jese waqt beeta zakham purane mile

Kis ke aagay rotay or sunate apni dastaan
Basti thi ujri hui sunsaan thikane mile

Ab na maangen ge Illahi zindagi ki bheekh hum
Ishq main shamma ki yeh kehte hue parwane mile

Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko
Chund tootay dil ke tukray unko nazrane mile

Maazi ki yaad main sab doobay hue thay is qadar
Khawab tere shehar ke sab log deewane mile



Mere Baaray Mein Badi Raaye Ghalat Thee Oski

Ghazal Shayari

Mere Baaray Mein Badi Raaye Ghalat Thee Oski,
Jaanay Wo Mere Tasawwur Mein Mila Kis Se Tha ?

Jaanay Ta Umer Ose Kis Ne Akaila Rakha
Jaanay Os Shaks Ka Paimaan-e-Wafa Kis Se Tha ?

Wo Agar Door Tha Mujh Se Tou Thee Qurbat Kis Se ?
Wo Mere Paas Agar Tha Tou Juda Kis Se Tha ?



ehen Mein Oske Khirkian Thee Bohat

Ghazal Shayari

Zehen Mein Oske Khirkian Thee Bohat
Per Fizaon Mein Aandhian Thee Bohat

Wo Kisi Tour Bhee Na Khul Paaya
Meri Baaton Mein Chaabian Thee Bohat

Muskurati Theen Saari Deewaarain
Aur Ghar Mein Udaasian Thee Bohat

Teri Seerat Pasand Thee Warna
Teri Soorat Ki Larkian Thee Bohat

Khamooshi Oski Jaan Lewa Thee
Aur Baaton Mein Talkhiaan Thee Bohat

Bas Nigaahon Mein Gir Gaya Azar
Warna Os Mein Bhee Khoobyan Thee Bohat



Tayray Hijar Main Aj Phir Sogwar Sa Baitha Hoon

Ghazal Shayari

Tayray Hijar Main Aj Phir Sogwar Sa Baitha Hoon
Tayrii Yaad Main Jaltay Huway Bhi Bujha Baitha Hoon

Zeest Ka Safar Najanay Kaab Khatam Ho Mayra
Shab-E-Tanhai Main Aj Phir Tayra Qisa Liyay Baitha Hoon

Bohot Dur Tu Chala Gaya Hi Phir Bhi Main
Tayray Hi Khayaloon Main Uljha Suljha Baitha Hoon

Najanay Kab Aay Ga Woh Tujh Say Milan Ka Din Ajnabi
Isi Soch Main Ab Khud Say Kinara Kiyay Baitha Hoon



Mat pouch kis tarah ka tha kaisa laga mujay

Ghazal Shayari

Mat pouch kis tarah ka tha kaisa laga mujay
Jaisa tha jis tarah ka tha acha laga mujay

Banjer howa hy zehan tu dil sogwar hy
kis ko laga hy rog ye, jaisa laga mujay

Parwrda,e fareib-e-nazar tha issi liye
Haton mai tera hath b dhoka laga mujay

Aqs-e-wisal-e-yaar jo aujal huwa tu phir
Rang-e-rukh-e-bahaar b phika laga mujay

Har aik cheez yun tery paikr mein dhall gai
Har aik cheez pr tyra saya laga mujay

Ik justju ka rai’gan hone ko hey mager
Ik rabta k aur b ghehra laga mujay

Pighla ye jisam lamss ki hid’dat sy aaj b
wo mery pass hy Aisa laga mujay



Humne To Banaye Hain Samundar Me Bhi Raste

Ghazal Shayari

Humne To Banaye Hain Samundar Me Bhi Raste,
Yun Humko Mitana Koi Asan Nahi Hai. .
Do Char Ummidon Ke Diye Ab Bhi Hain Roshan,
Maazi Ki Haweli Abhi Veeran Nahi Hai. .
Mai Teri Mohabbat Me Giraftar Hu Lekin,
Tujhko Mai Khuda Samjhu Ye Imkan Nahi Hai. .
Hain Ye Mere ash’ar Mere Ahad Ki Tasveer,
Ghalib Ki Ghazal Meer Ka Deewan Nahi Hai. .



Intezaar Na Karna

Ghazal Shayari

Ye saal mahinay din shumaar na karna
Bai ja dil-e-muztarib pay waar na karna

Wo keh gaya thha waqt-e-rukhsat ye bhe
Kisi musaafir ka aitebaar na karna

Na mujhay yaad dilana na mujhay yaad aana
Apni berbaad haseraton ka izhaar na karna

Sufer-e-hayaat main apnay leye tum chun laina
Koe bhe gosha-e-makan per intezaar na karna

Dawa-e-dil k leye kaafi thha os ka ye kehna
Apni hasti kee hudon ko paar na karna

Saza k taur pay kaatna ye zindagi apni
Wafa bai mole bhe milay tau payar na karna

Zakhmon ko apnay see laina tanhaiye main baith kar shaukat
Ore iss saee main saal mahinay din shumaar na karna

(Shumaar:Count)(Haseraton:Wishes)(Sufer-e-hayaat:Journey of life)(Dawa:Claim)(Mole:Worth)

by Shaukat Ali Khan



Nazar me ZuLmat badan main thandak

Ghazal Shayari

Nazar me ZuLmat badan main thandak
Jamal kitna ajeeb sa tha,
Mian us ki chahat me ghar se nilka tu
Haal kitna ajeeb sa Tha,
Na main ney osay khatoot likhe
na os ney meri panah chahi,
dono ko apni bey khudi pe
malal kitna ajeeb sa tha,
wo apni raton me chand dekhe
main apni raton main os ko souchon,
badalte lamhon me souch ka yeh
visaal kitna ajeeb sa tha,
safar akelay he kaat lo gey
main ne poucha tu ro diya wo,
jawab kitna ajeeb sa tha
sawal kitna ajeeb sa tha !!



Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahin

Ghazal Shayari

Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahin,
Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahin,

Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein,
Tu ne yeh baat kahin mujhse chupani to nahin,

Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera,
Yeh ujaRrna hai koi nakal-makaani to nahin,

Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat,
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahin..



Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao!

Ghazal Shayari

Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao ….!
Udaas Shab Ki “Saleeb” ho Jao ….!

Meri Baanhon Ko Sonp Do Sab Kuch….!
Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao….!

Mujh Mein Utro Meray Lahu Ki Tarhan….!
Meri Rooh Kay “Raqeeb” Ho Jao….!

Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye….!
Aao Meray “Tabeeb” Ho Jao….!

Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch….!
Aaj Aisay “Khateeb” Ho Jao….!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari