Mother Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Mother Shayari Poetry. Feel free to add your own Mother Shayari Shayari here.

Mother Shayari Collection

Who does not love Moms ? Mother Shayari and Mother Poetry is a way to express our love to our mothers. Expressing love with Mother Shayari is so beautiful. Ranjish.com has lots of Mother poetry for you to dedicate to your mother.



Meri chahat ka jo jahan hai..

Mother Shayari

Meri chahat ka jo jahan hai,
wo meri maan hai,
meri zameen ka jo asman hai,
wo meri maan hai,
mera sub kuch jis k nam hai,
wo meri maan hai,
hunsy mere jis k wagood se hai,
wo mery maan hai..



Wohi meri subh ,meri sham hoti thi

Mother Shayari

Wohi meri subh ,meri sham hoti thi
Garmiyon ki dhop me,wo mera saibhan hoti thi

Mere lie wo sehti thi tahne dosaron k
Mere lie wo har waqt odas hoti thi

Satata tha me use jii bhar k
Lakin uss k labon par phir bhi dua hoti thi

Chala jata tha me jab bhi kahen door
Nazar hamaisha us ki darwaze par hoti thi

Karta nahin tha talash kahen bhi me
Uss k qadmoo me hi meri janat hoti thi

Chor jate the jab bhi log bachpan me
Uss k hathon me hi meri ongali hoti thi

Ratjagon k azab jo mujh par otarte the
Uss ki mohabbat hi meri lori hoti thi

Qurban karti thi wo mujh par apna sab kuch
Meri khoshi me hi uss ki khoshi hoti thi

HUSSNAIN yad ati hai mujh ko wohi maa bar bar
Meri shohrat jiss ki dauon se hoti thi



Aye Maa’on Behnon Betiyon, Dunya ki zeenat tum se hai…

Mother Shayari

Aye Maa’on Behnon Betiyon, Dunya ki zeenat tum se hai,
Mulkon ki basti ho tumhi, Qomon ki izat tum se hai,

Tum ghar ki shehzaadiyan, Shehron ki ho abaadiyan,
Ghamgeen dilon ki shadiyan, Dukh sukh mein raahat tum se hai,

Tum ho to ooncha hai watan, Tum bin hai veerana chaman,
Ho des ya pardes, jeeney ki haalat tum se hai,

Naiki ki tum tasveer ho, Ifat ki tum tadbeer ho,
Ho deen ki tum paasban, Imaan salamat tum se hai,

Fitrat tumhari hai hayaa, Tabiyat mein hai mehr-o-wafaa,
Ghanni hai sabr-o-razaa, Insaan ibaarat tum se hai,

Munass ho khandaanon ki tum, Gham-khuwaar farzandon ki tum,
Tum bin ghar veeraan sab, Ghar bhar mein barkat tum se hai,

Tum aas ho bemaar ki, Dhaaras ho tum bekaar ki,
Daulat ho tum nadaar ki, Asrat mein ishrat tum se hai…



Gaon se akar parhne waley bhool gaye

Mother Shayari

Gaon se akar parhne waley bhool gaye,
Kis ki maan ne kitna zevar becha tha …



Maan ki dua khaali nahin jati..

Mother Shayari

Maan ki dua khaali nahin jati,
Us ki bd-dua bhi taali nahi jati,

Bartan maanjh kar bhi Maaan,
Teen chaar Bache paal hi leti hai,

Magar teen chaar bachon se,
Aik maan paali nahin jati…



Abi zinda hai Maan meri, mujy kuch bhi nahi hoga…

Mother Shayari

Abi zinda hai Maan meri, mujy kuch bhi nahi hoga,
Main jaab ghar se nikalta hoon, dua bhi sath chalti haai..!



Farishtey khwaab me aatey hain..

Mother Shayari

Raat gareeb Maan ne ye keh kar bachon ko sulaya,
Farishtey khwaab me aatey hain rotiyan le kar…



‘Maan’ ke bad mera kon sahara hai

Mother Shayari

Wo mare badsalooki mai bi mujhy dua dati hai.
Aghosh mai le kr sb ghum bhula date hai.

Yun lagta hai jaisy jannat sy a rahe ho khushbo.
Jb wo apny palu sy mujhy hawa dati hai.

Mai agar kroon anjany mai koi ghalte.
Meri ‘Maa’ es pr b muskura deti hai.

Kya khub bnaya hai rab ny rishta ‘Maa’ ka.
Weeran ghar ko b jannat bna dati hai

‘Maa’ ke bad mera kon sahara hai.
Ye he soch mujhy kbe kabi rula dati hai…!!



Main choti si ik bachi thi, Teri ungli tham kai chalti thi

Mother Shayari

Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi

khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi

Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gehre bheydon ko
main samjhi teri batoon se

Mein teree yaad kai takiye per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi roti hoon

Watch Video



Sakht raton mein bhi safar asaan lagta hai

Mother Shayari

Sakht raton mein bhi safar asaan lagta hai,
Yeh meri Maan ki duaayon ka assar lagta hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mother Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari