Poetry For Girls
Ranjish.com has lots of Urdu Poetry For Girls Poetry. Feel free to add your own Poetry For Girls Shayari here.Poetry For Girls Collection
If you are a Mother, a daughter, a wife or a sister, this page is for you. You can have the best poetry for girls here. The poetry here is totally related to girls and women, how they love and feel, how they treat their loved ones, and how they feel when they fall in love, and everything that a girl can ever think of. This section of this website is dedicated to the poetries related to mothers, sisters and daughters.
Mujhay itna pyar na do Baba..
Poetry For Girls
Mujhay itna pyar na do Baba,
Kal jitna mujhay naseeb na ho,
Ye jo maatha chuma kertey ho.
Kal is per shikan ajeeb na ho
Main jab bhi roti hon Baba
Tum ansoo poncha kertey ho
Mujhay itni dooor na chor aana
Main roun aur tum kareeb na ho
Meray naz uthatey ho Baba
Meray laad uthatey ho Baba
Meri choti choti khwahish per
Tum jan lutatey ho Baba
Kal aisa na ho ik nagri mein
Mein tanha tum ko yaad karon,
Aur ro ro ker faryad karon
Ay Allah meray Baba sa,
Koi pyar jataney wala ho,
Mere Naz Uthaney wala ho..!!!!
Khilono ki Jaga Dil toot`ta hai
Poetry For Girls
Khilono ki Jaga Dil toot`ta hai,
K Guriya ab bari hony lagi hy.
Aye Maa’on Behnon Betiyon, Dunya ki zeenat tum se hai…
Poetry For Girls
Aye Maa’on Behnon Betiyon, Dunya ki zeenat tum se hai,
Mulkon ki basti ho tumhi, Qomon ki izat tum se hai,
Tum ghar ki shehzaadiyan, Shehron ki ho abaadiyan,
Ghamgeen dilon ki shadiyan, Dukh sukh mein raahat tum se hai,
Tum ho to ooncha hai watan, Tum bin hai veerana chaman,
Ho des ya pardes, jeeney ki haalat tum se hai,
Naiki ki tum tasveer ho, Ifat ki tum tadbeer ho,
Ho deen ki tum paasban, Imaan salamat tum se hai,
Fitrat tumhari hai hayaa, Tabiyat mein hai mehr-o-wafaa,
Ghanni hai sabr-o-razaa, Insaan ibaarat tum se hai,
Munass ho khandaanon ki tum, Gham–khuwaar farzandon ki tum,
Tum bin ghar veeraan sab, Ghar bhar mein barkat tum se hai,
Tum aas ho bemaar ki, Dhaaras ho tum bekaar ki,
Daulat ho tum nadaar ki, Asrat mein ishrat tum se hai…
Kahin kho do gi dil mera..
Poetry For Girls
Abhi kamsin ho rehny do, kahin kho do gi dil mera,
tumhary hi liye rakha hai, le jana jawaan ho ker ..!
Na kamsin hun na nadan hun mohabat ko samjhti hun,
Tumhara kya bharosa hai, mukar jao jawan ho kr…
Main choti si ik bachi thi, Teri ungli tham kai chalti thi
Poetry For Girls
Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi
khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi
Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gehre bheydon ko
main samjhi teri batoon se
Mein teree yaad kai takiye per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi roti hoon
Watch Video
Gham ka daur kabhi na aaye, bas yunhe tu hansti jaye
Poetry For Girls
Gham ka daur kabhi na aaye, bas yunhe tu hansti jaye
Tere chand se chehre ko dekh chandni bhi sharmaye
Gushan gulahan dhundh raha hun, sehra sehra daud raha hun
Koi dilkash manzar lekin tere jaisa nazar na aye
Tu hai malika phulon ki aur kaliyon ki tu shahzadi
Sab ne tujhko yad kiya aur sab ne tere gun gaye
Ghar walon se torr ke naata
Poetry For Girls
Ghar walon se torr ke naata, kis ne paya sukh,
Kahan phiro ge shayer sahab, dast-e-sawaal liye..
See the clock only when u have No work
Poetry For Girls
“See the clock only when u have No work
Don’t see the clock when you are working
Because
Clock is a lock for success.”
Ye betiyan kesi hoti hain, ye pariyon jesi hoti hain
Poetry For Girls
ye betiyan kesi hoti hain
ye pariyon jesi hoti hain
ye bat bat pe roti hain
dil hota hai inka nazuk sa
ye bholi bhali hoti hain
baap ki ladli hoti hain
ma ki sulaari hoti hain
guryon se khelna bachpan inka
itni jaldi kesey beet gya
aangan soona kar jati hain
baap ka dard samajhti hain
ma k aanso ponchti hain
ye betiyan kesi hoti hain
ye paryon jesi hoti hain
Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe
Poetry For Girls
Phir ajnabi fizaon se jorra gaya mujhe,
Mein phool thi so shaakh se torra gaya mujhe,
Khushbu ki tarah jeena bhi asaan to na tha,
Phool se katra katra Nichorra gaya mujhe,
Mitti ke bartanon ki tarah sari zindagi,
Tora gaya mujhe, kabhi jorra gaya mujhe,
Hathon mein somp di mere kaghaz ki aik nao,
Darya ke tez dharey pe chora gaya mujhe…
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Poetry For Girls.