Sufi Poetry
Ranjish.com has lots of Urdu Sufi Poetry Poetry. Feel free to add your own Sufi Poetry Shayari here.Sufi Poetry Collection
Sufi poetry is poetry on selfless experiencing and actualization of the Truth. These sufi poems and ghazals communicate through symbolic expressions the depth of sufi spirituality, the inner states of mystical love, and the Unity of Being. They reveal aspects of Sufism and of traveling the sufi path that are not accessible in prose writings.
You can now send all these sufi poetry to mobile phones as text messages.
Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do
Sufi Poetry
Garmi sardi ka ehsaas badan per rehne do,
Apne mann ko tann ki sab takleefain sehne do,
Apne kaanon ko sab shor sharaba sun’ne do,
Apni zubaan ko saari sachi batain kehne do,
Apni aankh ke chashme mein sab manzar behne do,
Palkon ki is raah ke sarey kaantey chun’ne do,
Apni zaat ke pathreeley aur banjar-pan mein Saad,
Umeedon ka garam aur meetha chashma behne do..
Maazi ka insaan, suna hai,
Sufi Poetry
Maazi ka insaan, suna hai,
Gherat se bhi mar jata tha..
(maazi;past)
Beth jata hoon khaak per aksar
Sufi Poetry
Beth jata hoon khaak per aksar,
Apni aukaat achi lagti hai..
Yahan tehzeeb bikti hai..
Sufi Poetry
Yahan tehzeeb bikti hai, Yahan farmaan bikte hain,
Zara tum daam tou badlo, Yahan imaan bikte hain..
Bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi
Sufi Poetry
Bikhar gaya hai kuch is tarah aadmi ka wajood,
Har aik shakhzz koi saaneha lage hai mujhe..
(Saaneha:Take place;occur;happening)
Jab se insaan ki azmat ko zawaal aya hai
Sufi Poetry
Jab se insaan ki azmat ko zawaal aya hai,
Hai har ik “but” ko yeh daawa ke khuda ho jese…
Manzilo’n ki khabar Khuda jane..
Sufi Poetry
Manzilo’n ki khabar Khuda jane,
Ishq hai rahnuma Faqeero’n ka…
Tooty dilon ko jordna maqsood zeesst hy
Sufi Poetry
Tooty dilon ko jordna maqsood zeesst hy
mai kar raha ho muslik-e-Pighambaron ki baat
Takhleeq-q kainat ke dilchasp juram par
Sufi Poetry
Takhleeq-q kainat ke dilchasp juram par
hansta ho ga app bhi yazdan kabhi kabhi
Phattar ki mortain nazar ati hy char-so
Sufi Poetry
Phattar ki mortain nazar ati hy char-so
ya rab tery jaha ko ye kia dafataan howa hy
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sufi Poetry.