Sad Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Sad Shayari Poetry. Feel free to add your own Sad Shayari Shayari here.

Sad Shayari Collection

urdu sad poetry
Sad Shayari is a form of Urdu Poetry which is depressing, unhappy and sorrowful. Sad Poetry is loved by people who are depressed and heart-broken. Reading and Writing Urdu sad poetry is a nice way to express your sad feelings to the world.
There are lots of famous poets who were known for their sad poetry, but there are lots of couplets and poems out there which are very good but their authors are not known. We will try to upload all of the sad poetry whether their authors are known or not known.



Tamaam Umer Bas Apnay Badan Mein Qaid Rahay

Sad Shayari

Tamaam Umer Bas Apnay Badan Mein Qaid Rahay,
Ajab Malaal Raha Haadsaat Se Bach kar……!



Intezaar Na Karna

Sad Shayari

Ye saal mahinay din shumaar na karna
Bai ja dil-e-muztarib pay waar na karna

Wo keh gaya thha waqt-e-rukhsat ye bhe
Kisi musaafir ka aitebaar na karna

Na mujhay yaad dilana na mujhay yaad aana
Apni berbaad haseraton ka izhaar na karna

Sufer-e-hayaat main apnay leye tum chun laina
Koe bhe gosha-e-makan per intezaar na karna

Dawa-e-dil k leye kaafi thha os ka ye kehna
Apni hasti kee hudon ko paar na karna

Saza k taur pay kaatna ye zindagi apni
Wafa bai mole bhe milay tau payar na karna

Zakhmon ko apnay see laina tanhaiye main baith kar shaukat
Ore iss saee main saal mahinay din shumaar na karna

(Shumaar:Count)(Haseraton:Wishes)(Sufer-e-hayaat:Journey of life)(Dawa:Claim)(Mole:Worth)

by Shaukat Ali Khan



Ankhein kissi ko apni Amanat mein de gyay

Sad Shayari

Marr kar bhi uss ko dekhtay rehnay k shoq mein….
Ankhein kissi ko apni Amanat mein de gyay.



kadam thak gaye hai dur nikalna chhor diya hai

Sad Shayari

kadam thak gaye hai dur nikalna chhor diya hai,,
par aisa nahi hai ke maine chalna chhor diya hai..
aaj bhi akele hai duniya ki bheed mai,,
par aisa nahi ki maine zamana chhor diya hai..



Un Jheel Si Gehri Aankhon Main

Sad Shayari

Un Jheel Si Gehri Aankhon Main

Ik Shaam Kahin Abad To Ho

Us Jheel Kinaray Pal Do Pal

Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay

Woh Phool Baha Dain Lehron Main

Ik Roz Hum Sham Dhalay

Us Phoolk Behtay Rangon Main

Jis Waqt Larazta Chand Chalay

Us waqt Kahin Un Aankhon Main

Us Bisray Palki Yaad To Ho

Un Jheel Si Gehri Ankhon Main

Ik Sham Kahin Abad To Ho

Phir Chahay Umer Samunder Ki

Her Moj Pareshan Ho Jaay

Phir Chahay Aankh Dareechay Say

Her Khawab Gurezan Ho Jaay

Phir Chahay Phool Say Chehray Per

Her Derd Numayan Ho Jaay

Us Jheel Kinaray Pal Do Pal

Woh Roop Nagar Eejad To Ho

Din Raat K Is Ainay Say

Woh Aks Kabhi Azad To Ho

Un Jheel Si Gehri Aankhon Main

Ik Sham Kahin Abad To Ho..!!!!



Kirnon Ki Bheek Maangti Phirti Hai

Sad Shayari

Kirnon Ki Bheek Maangti Phirti Hai Khalq-e-Sheher,
Ab Waqt Hai Ke Ghar Ko Jala Dena Chahiye,

(Khalq-e-Sheher:Residents of City)



Chalo Ab Laut Bhi Aao

Sad Shayari

Kisi din loat na paaon
Tumhain main yaad gar aaon
Sulla k apni ankhon ko
Mujhay tum khawb main milna
Waja tum jaan jaao gi
Mujhay pehchan jaao gi
Tumharay paas he aana thha
Mujhay kahan ore jaana thha
Magar qudrat nay rakha thha
Tumhara imtehan iss main
Mohobat say bohat aagay
Tumhain bhe aazmana thha
Tumhain daiy kar zara sa gham
Mujhay bhe ye batana thha
Sirf tum he nehi kartay
Mohobat apni manzil say
Wo manzil bhe tumhari raah taktay
Sisakti hay, tarapti hay
Aansoo bahati hay
Ore kehti hay
Chalo ab loat bhe aao
Sunna tum nay ……. Chalo ab loat bhe aao
Chalo ab loat bhe aao……………

by Shaukat Ali Khan

(Qudrat:Nature)(Manzil:Destination)(Loat:Come Back)



Mujhe apni zarurat par gayi hai

Sad Shayari

Mujhe Apni Zarurat Par Gayi Hai
Sunoo, Mujhe Kahin Se Dhoondh Laao..



Na Dosh Diya Kar

Sad Shayari

Tou zakham-e-judaie ko tammana main mila kar
Khod apnay he haaton sai ye zeher piya kar

Takleef main ehsaas-e-mohobat ko dubo kar
Umeed ke kirno’n main tou rooz jiya kar

Daikhay jo teray haal ko apnay main sumo ker
Aisay he kisi shakhs sai tou piyar kiya kar

Jeenay main kehin sokh ore kehin dard-e-jahan hai
Haaton kee lakeeron ko na dosh diya kar

Jalta hai jism tera agar roog-e-wafa main
Parwanay kee jurrat ko tou yaad kiya kar

Bhikhray howay patton sai nashaimun ko saja kar
Ujaray howay logoon ko abaad kiya kar

Sumjhay jo tera dard koe aisa wali ho
Barbaad dilon main usay dhoondh liya kar

Wo kaun hai shaukat jo mubera hai dokhon sai
Aflaas ke basti main zara jhaank liya kar

by Shaukat Ali Khan



Khawabun Ki Hawaa Raas Thi Jab Tak Mujhe

Sad Shayari

Khawabun Ki Hawaa Raas Thi Jab Tak Mujhe,
Yoon Jaagte Rehna Meri Aadat Na Howi Thi…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sad Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari