Soch Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Soch Shayari Poetry. Feel free to add your own Soch Shayari Shayari here.

Soch Shayari Collection

Urdu Soch Shayari



Majbooriyon mein jeena

Soch Shayari

qaffas ko torr de ya jan se guzar ja
mjboriyun me jeena toheen e zndagi hy



Mat kar khaak

Soch Shayari

Mat kar khaak k putley pe gharoor-0-beniazi itni…
Khud ko khudi mein jhaank kr dekh tujh mein rakha kya hai!



har shy ka soda hota he

Soch Shayari

Har shy ka soda hota he
Her cheez bikaau hoti he
Har fard yaha per taajir he
Har waqt tijaarit hoti he
Tum ap he apne daam kaho
Chup k nhi sar_e_aam kaho
Kya lo ge apni yari ka
Kya lo ge tum dildaari ka
Gham_khwar bno ge kitne men
Tum pyar kro ge kitne men
Sb jazbay meray naam kro
Ham naam tum apna daam kaho
Par daam chukane ki khatir
Ham apna daftar kholen to
Ham apni jaib tatolen to
Bus pyar mily ga thora sa
Azaar mily ga thora sa
Ye sikay yaha kb chalte hen
Kya udhar mily ga thora sa
Ye dunia bay_aitbarie ki
Ye arz he hr beyopari ki
Chal chor tamana jazboun ki
Bas souday hi dekh aaen ham
Ham khali hath hi aaye thay
Chal khali hath hi jayen hum.



Ghar se nikla tha

Soch Shayari

ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha
khabar nahi ke sooruj kidhar se nikla tha

ye kon phir se mujhy raston main chor gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla nikla tha

ye teer dil main magar be sabab nahi utra
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha

men raat toot kar roya to chain se soya
ke dil ka zahar meri chusm-e-tar se nikla tha

wo qais ab jisay majnoo pokarty hen log
meri terha koi deewana ghar se nikla tha



Kuch toot raha hai

Soch Shayari

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai??
Ankhon mein ashkon ka samandar hai..

lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai??
Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai
Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai??

kuchh farmane ki gustakhi kya mai bhi kar sakti hoon
ek masoom jazbat mera bhi zuban se phoot raha hai??
Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar
jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai?



Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein

Soch Shayari

Main khud zameen mera zarf aasmaan ka hai
K toot kar bhi mera hosla chataan ka hai

Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi
Main kya karun k yehi zaaiqa zabaan ka hai

Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai

Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai

Bichhar k us se main bas es liye nahi bikhra
Wo keh gaya tha yehi waqt terey imtehaan ka hai



Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein

Soch Shayari

Mohabbat tumse hai yeh maanti hoon mein
chahat bus tumhari hai yeh janti hoon mein

Aao apni zaat ke us pehlu se milaaaon tumhe
mein kya hoon aur kon hoon yeh bataaon tumhe

Mein apni maan ki tarbiyat mein dhala ik sancha hoon
apne baba ki umeedon se pur aik khaka hoon mein

Apne bhai ki ghairat hoon yeh jaanti hoon mein
is ghar ki izat hoon yeh maanti hoon mein

To phir behek? jaaon phir mein yeh mumkin hi nahin
rishte aur bhi to hain sirf tum hi to nahin
Mohbabbat unhe bhi hai sirf tum ko to nahin



Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai

Soch Shayari

Suna Hai K Barish Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Barasti Bondon Ko Hathon Mein Sameit Leti Hai ?.
Suna Hai Phool Usey Bhi Pasand Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Ghanton Pholon Se Batein Kerti Rehti Hai ?..
Suna Hai K Chand Usey Bhi Aacha Lagta Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Raat Raat Bher Usey Takti Rehti Hai ?.
Suna Hai Tanhaee Usey Bhi Bhati Hai
Woh Bhi Meri Terhan
Per Woh Tanha Baith Ker Kis Ko Sochti Hai
Sari Batein Sachi Hein Magar
Yeh Bhi Sach Hai !
Mein Jo Us K Barey Mein
Her Baat Ki Khabbar Rakhta Hon
Yeh Bhi Janta Hoon K Us Ki
Soochon Ka Mehwar Mein Nahi ??!!!



Log Bhala Soch Ke Karna

Soch Shayari

Be-His Hein Yahan Log Bhala Soch Ke Karna
Is Dor Mein Logon Se Wafa Soch Ke Karna
Ik Bar Jo Roothe Hum To Mana Tum Na Sako Ge
Hum Jaise Wafadar Ko Khafa Soch Ke Karna
Gul Shakh Se Bichre To Kahin Ka Nahi Rehta
Tum Zaat Meri Khud Se Juda Soch Ke Karna



Ankhoon Ke Baat Samaj Laity Hain

Soch Shayari

Dil Walay Ankhoon Ke Baat Samaj Laity Hain
Khawab Mian Mil Le To Mulaqat Samaj Laity Hain
Rota To Asman Bhi Hai Kisi K Pyar Main
Lakin Log Usy Barsat Samaj Laity Hian


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Soch Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari