Tanhai Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Tanhai Shayari Poetry. Feel free to add your own Tanhai Shayari Shayari here.

Tanhai Shayari Collection

Tanhai Poetry is poetry on being lonely. People read Tanhai Poetry and Tanhai Shayari when they are left alone and feeling lonely. Tanhai Shayari is usually a bit depressing to read bit it lets you feel better.



Mai Tanhai Ko Tanhai me Tanha Kese Chor Doon

Tanhai Shayari

Mai Tanhai Ko Tanhai me Tanha Kese Chor Doon,
Tanhai Ne Tanhai Me Tanha Mera Sath Diya Hai…



Tabiyat apni ghabraati hai sunsaan raton mein

Tanhai Shayari

Tabiyat apni ghabraati hai sunsaan raton mein,
Hum aese mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain..



Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai

Tanhai Shayari

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai
Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai

Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main
Aayine mein kiska chehra dekh liya hai

Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska
Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai

Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha
Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai

Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha
Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai

Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they
Band aankhon se usko jata dekh liya hai !!

(Sehra:Desert)(Nateeja:Outcome)(Fitri:Expected)



Hoa hai tuj se bicharne k bad abb malom

Tanhai Shayari

Hoa hai tuj se bicharne k bad abb malom,
K to nahin tha tere sath aik dunia thi.



Har waqt ka hansana tujhe barbad na kar de

Tanhai Shayari

Har waqt ka hansana tujhe barbad na kar de,
Tanhai k lamhon me kabhi ro bhi lia karo.



Hawa ne toor k pata zameen pe phenka hai

Tanhai Shayari

Hawa ne toor k pata zameen pe phenka hai,
K shab ki jheel me pathar gara dia hai koi.



Wo shakh e jaan pe mehakata hoa gulab hai noor

Tanhai Shayari

Wo shakh e jaan pe mehakata hoa gulab hai noor,
Use mazaj e khazan ki khabar nahin karna.



Wo bhi bahot akela hai shaid meri tarah

Tanhai Shayari

Wo bhi bahot akela hai shaid meri tarah,
Us ko bhi koi chahne wala nahin mila.



Nend ka halka gulabi sa khomar ankhon me tha

Tanhai Shayari

Nend ka halka gulabi sa khomar ankhon me tha,
Yon laga jaise wo shab ko dair tak soea nahin.



Log us sheher ko khosh hall samaj lete hain

Tanhai Shayari

Log us sheher ko khosh hall samaj lete hain,
Raat k waqt bhi jo jaag raha hota hai.


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Tanhai Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari