Yaad Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Yaad Shayari Poetry. Feel free to add your own Yaad Shayari Shayari here.Yaad Shayari Collection
Yaad Shayari and Yaad Poetry is poetry on missing someone. Yaad Shayari, Yaadain Shayari, Shayari on yaad are some keywords used to search for Yaad Poetry.
Teri yadon se bach niklun
Yaad Shayari
Teri yadon se bach niklun muje tadbir de koi,
Meri janib se har rasta teri ghar k janib nikalta hai..
Yadain jaag jati hain
Yaad Shayari
Yadain Jaag Jati Hai Barisho K Mosam Mai
Har Ghari Satati Hai Barisho K Mosam Mai
Shaam B Kisi Surat,Chain Se Nahi Kat-ti
Subhain B Satati Hai Barisho K Mosam Mai
Zehn K Jarokay Mai Jab Koyi Sadaa Obray
Aankain Bheeg Jati Hai, Barisho K Mosam Main…..
Aisi Chahat Ko Kab Zawaal Aata Hay
Yaad Shayari
Tu Koun Hay, Mera Kia Lagta Hay
Baar Ha Dil Main Sawaal Aata Hay
Aanch Aaye Girti Hoii Boondo Say Jab
Mujh Ko Yeh Khayal Aata Hay
Apni Nakaamiyan Apnay Dard Yoon Tu
Chupana Tujhay Kamaal Aata Hay
Jaan Laiti Hain Phir Bhi Aankhain Meri
Tujhay Kab Kiya Khayal Aata Hay
Aansoo Teray Ubhrain Nigahon Say Meri
Aisi Chahat Ko Kab Zawaal Aata Hay
Khawb ban kar teri ankhon mein
Yaad Shayari
Khowab Ban Kar Teri Aankhon Main Utarna Chahon
Phool Ban Kar Teray Qadmon Main Bikharna Chahon
Tu Chalay Saath Meray Saya -e- Gul Ki Manind
Ban Kay Main Mouj -e- Saba Tujh Say Ulajhna Chahon
Na Bhulaa Paya
Yaad Shayari
Bhala Kaise Bhulaaon Gi
Yaad Shayari
Meri jaa.n sochti hon main
Agar tum mil na paay tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaao.n gi!
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaao.n gi!!
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoo.n gi!!!
meri jaa.n sochti hon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoo.n gi!
Jo aadhi um’r jeeni hay
Wo main kaise bitaao.n gi!!
Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Teri yaadai.n jo aae.n gi
Mujhe pal pal rulai.n gi
Merey Anchal ko kainchai.n gi
Mujhe kutch gud-gudai.n gi
Meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaao.n gi!!
Jo baatai.n tum sey karti hon
bhala kis ko bataao.n gi!
Naya jab sher likhoo.n gi
Tu main kis ko sunaao.n gi!!
meri jaa.n sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoo.n gi!
Meri jaa.n Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoo.n gi
Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Yaad Shayari
Bazi e Ishq Kuch Es Tarah Se Harey Yaroo
Zakham Per Zakham Lagey Dil Pe Humare Yaroo
Koi To Aisa Ho Jo Ghao Per Marham Rakhey
Yuun To Dushman Na Bunno Sare Ke Sare Yaroo
Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo
Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo
Dost Hi Apny Jo Kerny Lageen Nazr E Tofaan
Kaam Nahi Aty Phir Koi Saharey Yaroo
Sang Gheroon Ne Jo Marey To Koi Dukha Na Hua
Mer Gaye Tum Ne Mager Phool Jo Marey Yaroo
Wo Jo Raha Dil Geer Tumhari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahiin Taney Usy Marey Yaroo
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Yaad Shayari
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mosaum jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna aehbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhooka lena
Awaaz agar do to katra k nikal jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
mujhe kyun tamasha bana dia
Yaad Shayari
Kabhi Ghum Ki Aag Main Jal Uthe
Kabhi Dil ka Dagh Jala Dia
Ay Janoon-e-Ishq Bata Zara
Mujhe Kyun Tamasha Bana Dia
Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai
Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai
Kabhi Ashk Palkon Pay Ruk Gaye
Kabhi Main Ne Darya Baha Dia
Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye
Meri Bandgi Hai Wo Bandgi
Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila
Wahin Kaaba Main Ne Bana Dia
Abi Kar Rehe Ho Tum Ibteda
Mera Keh Raha Hai Ye Tajruba
Tumain Zindagi Ki Hai Arzu
Mujhe Zindagi Ne Mita Dia…..!!!
Ibtadaae ishq hai rota hai kya
Yaad Shayari
Ibtadaae ishq hai rota hai kya,
Aage aage dekhiye hota hai kya.
Qafile mein subah ke ek shor hai,
Yaani ghaafil ham chale sota hai kya.
Sabz hoti hi nahin yeh sar zamin,
Tukhm-e-khwahish dil mein tu bota hai kya.
Yeh nishaan-e-ishq hain jaate nahin,
Daagh chhaati ke abas dhota hai kya.
Ghairat-e-Yousaf hai yeh waqt-e-aziz,
Mir isko raigaan khota hai kya
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Yaad Shayari.