Ahmad Faraz

Ranjish.com has lots of Urdu Ahmad Faraz Poetry. Feel free to add your own Ahmad Faraz Shayari here.

Ahmad Faraz Collection

ahmad faraz poetry Ahmad Faraz
1950-2008

Ahmad Faraz is one of the best poets Pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots of Ahmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetry of ahmad faraz.
His real name was Syed Ahmed Shah but he chose to use “Faraz” as his pen name. Faraz was awarded several awards like Hilal-e-Imtiaz, Sitara-i-Imtiaz and Hilal-e-Pakistan. If you are looking for Ahmed Faraz Poetry then Ranjish.com is the ultimate place for your literary cravings.



Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaana’n..

Ahmad Faraz

ab ke tajdeed e wafa ke nahin imkaan jana

Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaanan,
Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaanan,

Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanan,

Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai,
Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaanan,

Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaanan,

Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar,
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaanan,

Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin,
Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaanan,

Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed,
Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaanan,

Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha,
Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaanan jaanan,

Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye,
Aur se aur huye dard ke unwaan jaanan,

Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they,
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaanan,

Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza,
Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaanan..



Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee..

Ahmad Faraz

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee,
Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,

Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair,
Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,

Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya,
Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..



Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu..

Ahmad Faraz

Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu,
Jo ho sake to mohabbat ka ehtraam karo..

(hilaal;moon)



Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to..

Ahmad Faraz

Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to Faraz,
Dard kaisa hi uthay haath na dil pe rakhnaa..



Aankh se door na ho dil se utar jaye ga..

Ahmad Faraz

aankhsedoornaho



Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de..

Ahmad Faraz

Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de,
Tanhaayi ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar,

Aye dil! tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan,
Tu halqa-e-yaraan* mein bhi mohtaat* raha kar..

(halqa-e-yaraan;around friends, mohtaar;cautious)



Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi..

Ahmad Faraz

Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi,
Main ke waqif tha tere hijr ke adaab se bhi..



Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain..

Ahmad Faraz

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,

Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,

Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,

Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,

Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,

Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,

Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,

Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,

Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,

Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…



Shab-e-hijr mein soya kese..

Ahmad Faraz

Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese..



Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz..

Ahmad Faraz

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahmad Faraz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari