Qabil Ajmeri

Ranjish.com has lots of Urdu Qabil Ajmeri Poetry. Feel free to add your own Qabil Ajmeri Shayari here.

Qabil Ajmeri Collection

Qabil Ajmeri Qabil Ajmeri
1931-1962

Qabil Ajmeri was a popular poet who was born in India and later moved to Pakistan where he died of tuberculosis. You can find all Qabil Ajmeri poetry here at Ranjish.com
Qabil Ajmeri was famous for marrying the nurse who was inspired by his poetry and later converted to Islam.



Raasta hai ke katt’ta jaata hai..

Qabil Ajmeri

qabil ajmeri poetry

Raasta hai ke katt’ta jaata hai,
Faasla hai ke kamm nahin hota..



Tum na maano magar haqeeqat hai..

Qabil Ajmeri

kuchtodil

Tum na maano magar haqeeqat hai,
Ishq insaan ki zaroorat hai,

Kuch to dil mubtilaa -e- wehshat hai,
Kuch teri yaad bhi qayamat hai,

Jee raha hoon iss eitmaad ke sath,
Zindagi ko meri zaroorat hai,

Husn hi husn jalwe hi jalwe,
Sirf ehsaas ki zaroorat hai,

Un ke waade pe naaz the kya kya,
Ab dar-o-baam se nidaamat hai,

Us ki mehfil main beth kar dekho,
Zindagi kitni khoobsurat hai,

Raasta katt hi jaye ga Qabil,
Shoq-e-manzil agar salaamat hai..



Mudatton hum ne gham sambhaale hain..

Qabil Ajmeri

mudaton hum ne gham sambhale hain

Mudatton hum ne gham sambhaale hain,
Ab teri yaad ke havaale hain,

Zindagi ke haseen chehre pr,
Gham ne kitne hijaab daale hain,

Kuch gham-e-zeest ka shikaar huye,
Kuch maseeha ne maar daale hain,

Rahguzar-e-hayaat main hum ne,
Khud naye raaste nikaale hain,

Aye shab-e-gham zara sambhaal ke rakh,
Hum teri subh ke ujaale hain,

Zauq-e-khud-agaahi ne aye “qabil”,
Kitne but-khaane torr daale hain..



Woh har maqaam se pehle woh har maqaam ke baad..

Qabil Ajmeri

Woh har maqaam se pehle woh har maqaam ke baad,
Sehar thi shaam se pehle sehar hai shaam ke baad,

Mujhi pe itni tawajjoh mujh se itnaa guraiz,
Mere salaam se pehle mere salaam ke baad,

Chiraagh-e-bazm sitam hain hamaara haal na puch,
Jalle they shaam se pehle bujhe hain shaam ke baad,

Yeh raat kuch bhi nahin thi yeh raat sab kuch hai,
Tuluuh-e-jaam se pehle tuluuh-e-jaam ke baad,

Rah-e-talab main qadam larrkharra hi jaate hain,
Kisi maqaam se pehle kisi maqaam ke baad..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Qabil Ajmeri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari