Dard Bhari Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Dard Bhari Shayari Poetry. Feel free to add your own Dard Bhari Shayari Shayari here.

Dard Bhari Shayari Collection

Dard Bhari Shayari is enriched with unhappiness, sorrowness and deep distress. People read Dard Bhari Shayari when they are hugely upset. This unhappiness can be of any kind, reading Dard bhari shayari makes us all feel a little better.



Kuch Is Tarah Se

Dard Bhari Shayari

Kuch Is Tarah Se Uljhe Hum Apni Uljhano Me
Khudi Ko Ajnabee Paya Tamam Aaino Me

Hame Dosto Ne Shamil Kiya Apne Dushmano Me
Jo Shamil Kiya Tha Tumne Hame Apne Dosto Me

Itni Shiddat Se Tuje Talasha Humne Mehjabeeno Me
Ek Pehchan Si Ban Gayee Hain Shehar Ki Haseeno Me

Dhadakta Hu Aajkal Sakiyo Ke Seeno Me
Tasweer Lagi Hain Ghayel Ki Tamam Maikado Me



Abhi Chal Rahi Ho

Dard Bhari Shayari

Jis Raha Pe Tum Abhi Chal Rahi Ho
Us Raha Se Hum Kai Baar Guzar Chuke Hain
Yeh Khel Jo Tum Khel Rahi Ho
Is Khel Ko Bhi Hum Kai Baar Khel Chuke Hain



Ankhon Ki Zubaan Tu Samajhti

Dard Bhari Shayari

Ankhon Ki Zubaan Tu Samajhti Nahi
Hoth Mere Bhi Kuch Kah Pate Nahi
Kitna Bebas Hoon Khud Ko Toh Pata Nahi
Koi Unse Bataye Ki Bina Uske Raha Jata Nahi



Dil Ka Dard Dil

Dard Bhari Shayari

Dil Ka Dard Dil Main Dabaye Rakha,
Koi Na Mila Aisa Jis Pay Duniya Luta Daitay,
Sab Nay Diya Dhooka Kis Kis Ko Bhula Daite,
Dil Ka Dard Dil Main Dabaye Rakha,
Bayan Kia Hota To Mehfil Ko Rula Daitay



Khawabo Ki Koi Khawhish Nahi

Dard Bhari Shayari

Ab Mujhe Khawabo Ki Koi Khawhish Nahi
Jee Raha Chaman Me Suman Ki Khawhish Nahi

Woh Aaye The Roshan Karne Jahan Hamara
Ab Koi Aur Gam E Bewafai Ki Khawhish Nahi

Yun To Kate Hue Paron Leke Jaun Kahan Tak
Gar Mil Bhi Jaye Pare Udan Ki Khawhish Nahi

Tanha Lagata Hei Darr Kab Tak Sambhalu Khud Ko
Samane Jaam E Dost He,Mahefil Ki Khawhish Nahi

Bhale Hi Rahe Janaja Bich Rah Pe ?Pyasa?
Bedrd Jamane Ke Kandhe Ki Koi Khawhish Nahi



Mujhe Jine Ki Aash Nahi

Dard Bhari Shayari

Jivan Me Ab Mujhe Jine Ki Aash Nahi
Aash He Jinaki Woh Mere Pass Nahi

Vaada Woh Kar Ke Saath Ka Tod Gaye
Khabar Mere Maut Ki Unko Khas Nahi

Nadan Me Betha Hun Aash Liye Unaki
Suna Pada Aasman Aur Badal Paas Nahi

Unko Di Hamane Har Ek Pal Jivan Ki
Aur Kahete He Woh Samay Unke Pass Nahi

Maut Tak Aa Chhuki Jindagi Hamari Magar
Ask Hamare Liye Unki Nigahon Ke Pass Nahi

Ask Hamare Liye Unki Nigahon Ke Pass Nahi
Aayenge Kya Phool Kisi Ke Mujhe Aash Nahi



Zamane Say Dukhi

Dard Bhari Shayari

Ho Jao Agar Zamane Say Dukhi,
Bikta Hai Gham Dushman K Bazaar Main,

Lakhon Dard Chupay Hotay Hain,
Ek Chotay Say Inkaar Main,

Ho Jao Agar Zamanay Say Dukhi,
To Sawagat Hai ? Wakeel? K Darbaar Main



Ye Zakhm Sil Gaya To Phir

Dard Bhari Shayari

Ye Dard Mit Gaya To Phir?
Ye Zakhm Sil Gaya To Phir??
Bichhar Kar Sochta Hoon Main,
Wo Phir Se Mil Gaya To Phir??

Main Titliyon K Shehar Mein,
Rahoon To Mujh Ko Fiker Hai?
Wo Phool Jo Khila Nahi,
Wo Phool Khil Gaya To Phir??

Tujhe Bhi Kuch Nahi Mila,
Mujhe Bhi Kuch Nahi Mila?
Tamam Umer K Liye,
Ye Dard Mil Gaya To Phir??

Main Is Liye To Aaj Tak,
Sawal Bhi Na Kar Sake?
Agar Mere Sawal Ka,
Jawab Mil Gaya To Phir??



Moom Ki Tarha Pigalty Howe Dheka Usko

Dard Bhari Shayari

Moom Ki Tarha Pigalty Howe Dheka Usko,
Rut Jo Badli To Badalty Howe Dheka Usko..

Wo Jo Kanto Ko B Narmi Se Chuwa Krta Tha.
Humney Phoolo Ko Masalty Howey Dheka Usko ,

Jany Wo Mangny Jata Hy Duwaoon Mai Kisy,
Hath Uthathy He Sisikty Howe Dheka Usko



Bicharney Ka Ishara Karkey

Dard Bhari Shayari

Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey
Khud Bhi Roya Woh Buhat Ham Se Kinara Karkey

Sochta Rehta Hoon Tanhai Main Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobara Karkey

Jagmaga Di Hain Terey Shehrer Ki Galiyan Main Ne
Apney Askhon Ko Palkon Pe Sitara Karkey

Dekh Letey Hain Chalo Hosla Apne Dil Ka
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara Karkey

Aik Hi Sheher Main Rehna Hai Magar Milna Nahi
Dekhtey Hain Yeh Aziyat Bhi Gawara Karkey


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Dard Bhari Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari