Nazam Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.

Nazam Shayari Collection

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.



Main tumko bhool jaon ga..

Nazam Shayari

Zara si be-sakooni hai,
Mujhe is zindgani se koi shikwa nahin lekin,
Zara si be-sakooni hai,

Najane kyun mere dil main,
Ajab ik khauf rehta hai,
Mujhe mehsus hota hai,
Mere dil par tumhari yaad ki dastak
main ab woh shidat nahin hoti,

Bohat hi khas baten hain,
Mujhe jo aam lagti hain,
Mere dil par inhen sun kar koi tufan nahin uthta,

Tumhari sharbati ankhen,
Tumhara khawb sa chehra,
Tumhara makhmali lehja,
Sabhi kuch khawb lagta hai,

Mujhe mehsus hota hai,
Sunehri titliyon jese,
Woh sab khush-rang se sapne,
Mere lafzon ke phoolon par bohat din se nahin bethe,

Mujhe mehsus hota hai,
Samay ki tez lehron ne,
Hamare rait ke kachay gharonde torr dale hain,
Mujhe in tez lehron se,
Sunehri titliyon jese,
Sabhi khush-rang sapnon se koi shikwa nahin lekin,

Zara si be-sakooni hai,
Mujhe mehsus hota hai,
Tumhare dil ke darwaze par,
Meri yaad ki dastak meri jaan ab nahin hoti,
Ke meri yaad aye to tumhari ankh bhar aye,

Duyaen mangte lamhe,
Mujhe tum bhool jati ho,
Magar phir bhi mujhe tumse koi shikwa nahin lekin,

Ajab si be-sakooni hai,
Ajab sa khauf rehta hai,
Main tum ko bhool jaon ga..



Mohabbat rog hai jaanan..

Nazam Shayari

Mohabbat rog hai jaanan,
Ajab sanjog hai jaanan,
Yeh kesa rog hai jaanan,

Barre boorrhe batate thay,
Kayi qisse sunaate thay,
Magar hum mante kab thay,
Yeh sab kuch jaante kab thay,

Bohat pukhta iraade kis tarah se toot jaate hain,
Humen idraak hi kab tha,
Humen kaamil bharosa tha,
Hamare sath kisi surat bhi aesa ho nahin sakta,
Yeh dil kabu se bekabu kabhi bhi ho nahin sakta,

Magar phir yuun hua jaanan,
Najane kyun hua jaanan,
Jigar ka khoon hua jaanan,

Tere abru ki ik jumbish,
Tere sar ke ishare pr,
Gulaabi muskurahat pr,
Chehra-e-masoomana pr,
Jafaye-e-mehermana pr,
Sadaye-e-dilrubana pr,
Adaye-e-qatilana pr,

Ghayal ho gaye hum bhi,
Barre bebaak phirte thay,
Aur mayal ho gaye hum bhi,
Sakhawat karne aye thay,
Aur sayal ho gaye hum bhi,
Barre boorrhon ki baaton ke,
Qayal ho gaye hum bhi,
Mohabbat rog hai jaanan..



Bohat arsa hua, ik din mujhe usne bataya tha..

Nazam Shayari

Bohat arsa hua ik din mujhe us ne bataya tha,
Subah jab so ke uthta hoon to main bas chaye peeta hoon,
Mujhe chaye pilao gi ?
To kitni chah se maine yeh baiRRa khud uthaya tha,
Usay chaye pilaon gi,

So jab woh roz uthta tha mujhe message main yeh likhta tha,
Fatta-fatt chhat pe ajao,
Meri jaan chaye le ao,
Main us pal mar hi jati thi ,
Woh us lamhe ko jeeta tha,

Bana kar chaye ka ik cup usay jab main thamaati thi,
Utha kar dilnasheen nazren mujhe phir dekhta tha woh,
Mohabbat ke khayalon se phir apne khelta tha woh,
Laga kar hont cup se main usay jhoota pilati thi,

Aur ab bairay ke anay pr mujhe woh dekhta hai phir,
Adaa se us ko kehti hoon chalo do cup mangana phir..

بہت عرصہ ہوا اک دن  مجھے اس نے بتایا تھا



Kitaaben jhankti hain band almari ke sheeshon se..

Nazam Shayari

Kitaaben jhankti hain band almari ke sheeshon se,
bari hassrat se takti hain,
maheenon ab mulaqaaten nahin hotin,
jo shaamen un ki sohbat main katta karti thiin,
ab aksar guzar jaati hain computer ke pardon par,
Bari bechain rehti hain kitaben,
unhe ab neend main chalne ki aadat ho gayi hai,
Bari hassrat se takti hain,
jo qadren woh sunaati thin,
ke jin ke cell kabhi martay nahin thay,
woh qadren ab nazar aati nahin ghar main,
jo rishte woh sunaati theen,
woh saare udhrray udhrray hain,

Koi safaah palattt-ta hon to ik sisski nikalti hai,
kayi lafzon ke maani gir parre hain,
bina paton ke sukhay tunndd lagte hain woh sab alfaz,
jin par ab koi maani nahin ugte,
bohat si istelaahen hain,
jo mitti ke sakoron ki tarah bikhri parri hain,
gilaason ne unhen matruuk kar dala,
zaban par zaiqaa aata tha jo safeh palattne ka,
ab ungli click karne se bas ik,
jhapki guzarti hai,
bohat kuch teh-ba-teh khulta chala jata hai parde pe,

Kitaabon se jo zaari raabta tha katt geya hai,
kabhi seenay pe rakh ke laitt jaate thay,
kabhi godi mein lete thay,
kabhi ghutnon ko apne rehl ki suurat bana kar,
neem sajde main parrha karte thay chuutay thay jabeen se,

Khuda ne chaha to,
woh sara ilm to milta rahe ga aaynda bhi,
magar woh jo kitaabon main mila karte thay,
sookhay mehke huye ruqqay,
kitaaben maangne girne uthaane ke bahane rishte bante thay,
un ka kya hoga,
woh shayed ab nahin honge..

Watch Video



Zindagi ke jitne darwaaze hain..

Nazam Shayari

Zindagi ke jitne darwaaze hain
Sab mujh pe band hain,
Dekhna hadh-e-nazar se aage barrh kar
Dekhna bhi jurm hai,
Aasman-darr-aasmaan asraar ki parten hattaa kar
Jhaankna bhi jurm hai,
Kyun bhi kehna jurm hai,
Kaise bhi kehna jurm hai,
Saans lene ki to aazadi mayassar hai magar,
Zinda rehne ke liye insan ko kuch aur bhi darkaar hai,
Aur is kuch aur bhi ka tazkraa bhi jurm hai,
Ae khudaavandaan -e-aevaan-o-aqaayed,
Ae hunar-mandaan -e-aayin-o-siyaasat,
Zindagi ke naam par bas ek inaayat chahiye,
Mujh ko in saare jaraayem ki ijazat chahiye.

Watch Video



Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai..

Nazam Shayari

Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai,

Ke zindagi teri zulgon ki narm chaaon main,
Guzarne paati to shadaab ho bhi sakti thi,

Yeh teergi jo meri zeest ka muaqaddar hai,
Teri nazar ki shuaaon main kho bhi sakti thi,

Ajab na tha ke main begana-e-alam ho kar,
Tere jamaal ki raaa-nayion main kho rehta,

Tera gudaaz badan teri neem-baaz ankhen,
Inhin haseen fasaanon main mehvv ho rehta,

Pukaartin mujhe jab talkhiyaan zamane ki,
Tere labon se halaavat ke ghoont pe leta,

Hayaat cheekhti phirti barhana sar aur main,
Ghaneri zulfon ke saaye main chhup ke jee leta,

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai,
Ke tu nahin tera gham teri justaju bhi nahin,

Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise,
Isay kisi ke sahaaray ke aarzuu bhi nahin,

Zamane bhar ke dukhon ko laga chuka hoon galay,
Guzar raha hoon kuch anjani rah-guzaaron se,

Muheeb saaye meri samt barrhte aatey hain,
Hayaat o maut ke pur-haul kharzaaron se,

Na koi jaada-e-manzil na raushni ka suraagh,
Bhatak rahi hai khalaaon main zindagi meri,

Inhin khalaaon main reh jaaon ga kabhi kho kar,
Main janta hoon meri ham-nafas magar yunhi,

Kabhi kabhi mere dil main khayaal ata hai..

Watch Video



Us des main rehne walon par awaz uthana wajib hai..

Nazam Shayari

Jis des ke qaatil ghundon ko ashraaf churra le ke le jayen,
Jis des ke court katchehri main insaf takon main bikta ho,
Jis des ka munshi qazi bhi mujrim se puch ke likhta ho,
Jis des ke chapay chapay par police ke nakay hote hon,

Jis des ke mandir masjid main har roz dhamakay hote hon,
Jis des main jaan ke rakhwale khud jaanen le masoomon ki,
Jis des ke hakim zalim hon siski na sunen majbooron ki,
Jis des ke adil behray hon aahain na sunen masoomon ki,

Jis des ke gali koochon main har samt fahashi pheli ho,
Jis des main bint-e-hawa ki chadar dagh se maili ho,
Jis des ke har chorahay par do char bhikari phirte hon,
Jis des main roz jahazon se imdaadi thailay girte hon,

Jis des main ghurbat maaon se bache neelaam karati ho,
Jis des ke ohda-daron se ohday na sambhalay jate hon,
Jis des ke saada-loh insaan waadon pe taalay jate hon,
Us des main rehne walon par awaz uthana wajib hai,
Us des ke har ik leader ko sooli pe charrhana wajib hai…

Watch Video



Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai..

Nazam Shayari

Yeh mehlon, yeh takhton, yeh taajon ki duniya,
Yeh insaan ke dushman samaajon ki duniya,
Yeh daulat key bhookhay rawajon ki duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,

Har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi,
Nigahon mein uljhan, dilon mein udaasi,
Yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Yahaan ik khilona hai insaan ki hasti,
Yeh basti hai murda paraston ki basti,
Yahaan to jeevan se hai maut sasti,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Jawaani bhatakti hai badkaar ban kar,
Jawaan jism sajtey hein bazaar ban kar,
Yahaan pyaar hota hai byopaar ban kar,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai,
Wafaa kuch nahi, dosti kuch nahi hai,
Yahaan pyaar ki qadar hi kuch nahi hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,

Jala do isey, phoonk daalo yeh duniya,
Mere saamne se hattaa lo ye duniya,
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai..

Watch Video



Agar kabhi meri yaad aaye..

Nazam Shayari

Agar kabhi meri yaad aye,
To chaand raton ki narm dilgeer roshni main,
Kisi sitaare ko dekh lena,
Agar woh nakhl-e-falak se urr kar tumhare qadmon main aa gire to,
Yeh jaan lena woh istaara tha mere dil ka,
Agar na aaye..

Magar yeh mumkin hi kis tarah hai ke tum kisi pr nigaah dalo,
To us ki deewar-e-jaan na tootay,
Woh apni hassti na bhool jaye,
Agar kabhi meri yaad aye,
Gurez karti hawaa ki lehron pe hath rakhna,
Main khushbuon main tumhe miloon ga,
Mujhe gulaabon ki patiyon main talash karna,
Main oass qatron ke aayinon main tumhe miloon ga,
Agar sitaron main, oass qatron main, khushbuon main na pao mujh ko,
To apne qadmon main dekh lena,
Main gard karti masaafton main tumhe miloon ga,

Kahin pe roshan chiraagh dekho to jan lena,
Ke har patangay ke sath main bhi bikhar chuka hoon,
Tum apne hathon se un patangon ki khaak daryaa main daal dena,
Main khaak ban kar samandron main safar karoon ga,
Kisi na dekhe huye jazeere pe ruk ke tum ko sadaayen doon ga,
Samandron ke safar pe niklo to us jazeere pe bhi utarna,
Agar kabhi meri yaad aye…

Watch Video



Kabhi hum khoobsurat thay..

Nazam Shayari

Kabhi hum khoobsurat thay,
Kitaabon main bassi khushbu ki maanind,
Saans saakin thi,
Bohat se an-kahe lafzon se tasveeren banate they,

Parindon ke paron pr nazam likh kar,
Door ki jheelon main basne wale logon ko sunaate they,
Jo hum se door thay lekin hamare paas rehte thay,
Naye din ki musaafat jab kiran ke sath hamare aangan main utarti thi,
To hum kehte they, ami titliyon ke par kitne khoobusrat hain,
Humen maathay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke, jugnuon ke des jana hai,
Humen rangon ke jugnu, Roshni ki titliyaan awaz deti hain,
Naye din ki musaafat rang main dabi hui hawaa ke sath khirrki se bulaati hai,
Humen maatthay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke jugnuon ke des jana hai..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari