Nazam Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.

Nazam Shayari Collection

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.



Lo dekho haar di tum ne, Mohabbat maar di tum ne..

Nazam Shayari

Sulagti talkhh baton se,
Barre bedard hathon se,
Ye zalim hijar ki barchi*,
Meri chahat ke Seeney me,
Kuch ese gaarrh di tum ne,
Lo dekho haar di tum ne,
Mohabbat maar di tum ne..

(barchi;shovel, used for digging)



Usey kehna ke thakk sa geya hoon..

Nazam Shayari

Usey kehna,
Keh thakk sa geya hoon,
Mein khud ko saabit karte karte,
Agarchey, mere tareekay galat honge,
Iraadey magar sachh pe mabni hain,
Tum agar chaaho,
To mere jazbon ka imtehaan lo,
Mere haq me faisla dene ko,
Suno ab to to tthaan lo,
Usey kehna,
Ke thakk sa geya hoon..



Kya bohat zaroori hai?

Nazam Shayari

Kya bohat zaroori hai?
Khawb posh ankhon mein,
Aanusyon ka bhar jana?

Hasrton se saahil par,
Titliyon ka mar jana?
Habss ki hawaaon mein,
Khushbuyon ka dar jana?
Dil ke garam sehraa main,
Hashar hi barpaa hona?
Dard la’dawaa hona ?
Kya bohat zaroori hai?



Maan liya sach kehti ho, Mujh se mohabbat karti ho..

Nazam Shayari

Maan liya sach kehti ho,
Mujh se mohabbat karti ho,
Meray khawbon ki duniya mein rehti ho,
Meri yaad ke aalam,
Door hila’aa mein,
Aksar takti rehti ho,
Din sochon mein katt jata hai,
Raat ko neend nahi aati,
Ek ek taara ginti ho,
Ye bhi sach hai,
Apney hussn ki barish se,
Meri zeest ka sehraa,
Jal-thal ker do ge,
Jeevan bhar sukh baanto ge,

Lekin…
Aye masoom larrki !!
Main bebass hoon,
Chahoon bhi to,
Sath tumhara de nahi sakta,
Mere dukh ki duniya tanhaa,
Mere sukh ki bat alag hai..
Kis umeed pe, kis bharosey per,
Mera daaman thaamo gi,
Mere haath ki tooti-phooti,
Tirchi lakirein ghaur se dekho,
In mein tumhara naam nahi hai..



Tum laut aao to bahaar aaye..

Nazam Shayari

Tum laut aao to,
Bahaar aaye,
Sadiyon se chala ho jo musafir,
Nangey paaon,
Pathreeli rait per,
Dikhe jese phir koi saaya daar darakht,
Yun mujhko jese qaraar aye,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye,

Mujhe to kuch yaad nahi rehta,
Tumhe sab yaad rehta tha,
Mujhe kab kis se milna hai,
Kahan kab baat karni hai,
Kahan chup chaap sa rehna hai,
Shor hota tha intihaa ka,
Tumhe kese maloom parrta tha,
Subah jab darwazey pe
Akhbaar aye,

Tum choottay ho,
To sabhi kaam thhap huye hain,
Sabhi cheezein wahin rakhi hain,
Mujhe kuch bhi karna,
Be’maani sa lagta hai,
Sabhi halaat,
Sabhi jazbaat,
Tumhi pe sarff kiye hain,
Mujhe kuch aur chaahna nahi aya,
Halka sa bhi jo kabhi
Khud pe ikhteyaar aye,

Maut qareeb ho jese,
Khonay ko ab kuch bhi nahi baaki,
Phir bhi kyun ese lagta hai,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..



Mudat’ton se, Jism ke jhoolay mein dil..

Nazam Shayari

Mudat’ton se,
Jism ke jhoolay mein dil,
Murdaa bachey ki tarah,
Khamosh hai,
Aur zindagi,
Ik baawli maan ki tarah,
Jhoola jhulaaye jati hai,
Pankhaa hilaaye jati hai..



Aaj mosam acha hai..

Nazam Shayari

Barishon ka mosam hai,
Rooh ki fizaon mein,
Ghamzda hawayen hain,
Besabab udasi hai,
Is ajeeb mosam mein,
Beqrar lehjon ki,
Beshumar baaten hain,
Anginat fasane hain,
Jo bohat khamoshi se,
Dil pe sehtay phirtay hain,
Aur ba amar-e-majburi,
Sab se kehtay phirtay hain,
Aaj mosam acha hai..
Aaj mosam acha hai..



Judaayi ke mosam main, Utarti shaam se pehle..

Nazam Shayari

Judaayi ke mosam main,
Utarti shaam se pehle,

Meri yakh-basta ankhon main,
Khaamoshi raqss karti hai,

To uss ki yaad ki payal,
Yoon mere kaan main aa kar,

Mussalsal chanchhanati hai,
To phir yakdam khaamoshi ka,

Tassalsul toot jata hai,
Phir aise mein koi koyal,

Barre hi qarb se kookay,
To yoon mehsoos hota hai,
Ke jaise be-sabab koi,

Kissi ko yaad karta hai,
Kissi ko yaad karta hai…



Meri aankhon pe marta tha, Meri baton pe hansta tha..

Nazam Shayari

Meri aankhon pe marta tha,
Meri baton pe hansta tha,
Na jane shakhs tha kaisa,
Mujhe khone se darta tha,

Mujhe jab bhi woh milta tha,
Yahi har bar kehta tha,
Suno!
Agar me bhool jaon to,
Agar me rooth jaon to,
Kabhi wapis na aaon to,
Bhula pao ge yeh sab kuch,
Yunhi hastey raho gaye kya,
Yunhi sajtey raho gaye kya,

Yehi batain hain bas uski,
Yehi yadein hain bas uski,
Mujhe bas hai pata itna,
Mujhe woh pyar karta tha,
Mujhe woh pyar karta tha..



Bicharrne waley, Chale jo ho to, bataa ke jao..

Nazam Shayari

Bicharrne waley,
Chale jo ho to bataa ke jao,
Ke kitni shaamain udaas ankhon mein kaatni hain,
Kitni subhen akele pan mein guzaarni hain,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke kitne suraj,
Azaab raston ko dekhna hai,
Ke kitne mahtaab sard raton ki wusat’on se
nikalney hain,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke chand raton mein
Waqt kese guzaarna hai,
Khamosh lamhon mein tujh ko,
Kese pukaarna hai,
Bata ke jao ke kitne lamhe,
Shumaar karne hain hijrton ke,
Ke kitne mausam judayion mein,
Guzaarney hain,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke panchiyon ne,
Akele pan ka sabab jo pucha,
To kya kahoon ga,
Kisi ne rastey mein rok kar,
Yoon mujhse poocha,
Ke pichle mausam main saye saye,
Jo ajnabi tha kahan geya hai,
To kya kahoon ga,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke mein kis se,
Tera gilla karoon ga,
Bicharr ke tujhse habib,
Kis se milla karoon ga,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke ankh barsi,
To kon moti chunaa kare ga,
Udaas lamhon mein,
dil ki dharrkan suna karega,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke mausamon ko,
Payyaam dene hain ya nahin,
Falak ko, taaron ko, Jugnu’on ko,
Sallam dene hain ya nahin,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke kis pe hai aitbaar karna,
Ke kis ki baton pe be’niazi,
Ke silsley ikhtyaar karna,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke ab rawayion ki
Chaal kya ho,
Jawab kya ho, Sawaal kya ho,
Urooj kya ho, Zawaal kya ho,
Nigaah rukhsaar, zulf chehra,
Niddhaal kya ho,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke meri halat pe,
Chandni khilkhila pari to kya karon ga,
Bata ke jao ke meri soorat pe
Teergi muskura parri to,
Mein kya karoon ga,
Bata ke jao,

Bata ke jao ke tumse bicharr ke,
Yeh waqt kese guzaarna hai,
Bicharr ke tum se yeh waqt,
Kese guzaarna hai,
Ujaarna hai, nikhaarna hai,
Badan ko kitna sanwaarna hai,
Bata ke jao,

Bicharrne waley,
Chale jo ho to,
bataa ke jao,
bataa ke jao..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari