Nazam Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.Nazam Shayari Collection
Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.
Meri maano, To laut aao…
Nazam Shayari
Abhi kuch bhi nahin badla,
Darakhton par wohi mausam abi tak muskuratey hain,
Abhi tak surmeyi shamain hamarey sath roti hain,
Abhi tak mere honton per tumhare honton ki khushbu
Raqss karti hai,
Abhi tak meri ankhon mein tumhare khawb hanstey hain,
Abhi tak mere hathon per tumhari ungliyon
ki narm pooron se likhey sab harf
zinda hain,
Abhi tak mere seeney mein tumhari saans chalti hai,
Abhi to raston par doodhiya pairon se parney waley
sarey naqsh qayem hain,
Abhi almaariyon mein sarey tohfey gungunatey hain,
Tumhare khat abhi bhi raat ki tanhai mein mujh se,
Tumhari baat kartey hain,
Bohat se saal guzrey hain,
Bohat se waqt beeta hai,
Meri chahat nahin beeti,
Meri himmat nahin guzri,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Abhi kuch bhi nahin badla,
Agar chaho,
Agar samjho,
Meri maano,
To laut aao…
Tumhe kese bhulaata main ?
Nazam Shayari
Tumhe kese bhulata main?
Ke jab socha tumhe bhoolon,
Mere apne, mere saathi,
Mera yeh dil, meri aankhen,
Yeh mujhse rooth jatey hain,
Tumhi ko yaad karte hain!!
Tumhe kese bhulata mein ?
Mere woh din, meri ratain,
Tumhare sath jo beetey,
Woh lamhe, pyar ki batain,
Tumhi ko yaad karte hain,
Tumhe kese bhulaata main??
Rishtaa torr ke janey waley..
Nazam Shayari
Rishtaa tore ke janey waley,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Ab ki Eid pe,
Mujh ko jitney card miley hain,
Un cardon mein sab se pyara,
Sab se acha,
Pehla card tumhara hai,
Mujh ko chorr ke janey waley,
Zara kaho to,
Yeh kiss aur ishaara hai ???
Tum se jab baat nahin hoti, Kisi din jaanam..
Nazam Shayari
Tum se jab baat nahin hoti,
Kisi din jaanam,
Aese chup chaap guzarta hai,
Yeh sunsaan sa din,
Aik seedhi si lambi sarrak par jese,
Saath chalta hua rootha hua sathi koi,
Mu’n phelaye huye naraaz sa,
Khamosh,
Udaas..
Aur jab milta hoon,
Hanss parta hai yeh rootha din,
Gud’gudaa* kar mujhe kehta hai,
“Kaho kese ho??”…
(gud’gudaa;tickle)
Gulzaar
Nazam uljhi huyi hai, seeney mein..
Nazam Shayari
Nazam uljhi huyi hai,
seeney mein,
Sher atkey huye hain,
honton per,
Lafz kaaghaz pe bethtey hi nahin,
Urrtey phirtey hain titliyon ki tarah,
Kab se betha hua hon main,
janam,
Saada kaghaz pe likh ke naam tera,
Bass tera naam hi mukammal hai,
Iss se behter bhi nazam kya hogii..
Gulzar
Aalim-e-mohabbat mein, Ik kamaal wehshat mein..
Nazam Shayari
Aalim-e-mohabbat mein,
Ik kamaal wehshat mein,
Be-sabab rafaaqat ka,
Dukh uthaana parta hai,
Titliyaan pakarney ko,
Door jana parta hai..
December ke haseen din they..
Nazam Shayari
December ke haseen din they,
Murree ki yakh fizaon mein,
Hamare chaan hathon ne,
Snow man ik banaya tha,
Kaha tha aik doojey ko,
Nishaani pyar ki apni,
Bari hi khubsurat hai,
Magar pyaare,
Snowman barf ka tha woh,
Usey aakhir pighalna tha,
Usey aakhir bikharna tha..
Ik larki, Pagli si, Diwani si, Masoom si, Anjaani si..
Nazam Shayari
Ik larki,
Pagli si, Diwani si,
Masoom si, Anjaani si,
Apne ghar ki mundair per bethi,
In galiyon aur chobaaron ko,
In koochon aur bazaaron ko,
Dekhti hai..
Jahan us ne apna bachpan guzara tha,
Us ki aankhon mein tha,
Intizaar..
Kisi ka!
Magar usey kaun samjhaye,
Ke bachpan ke vaadey to,
Kacchi dor ki tarah hote hain,
aur,
Bhala jane waley,
Kab laut kar atey hain..
Meine ghar ke sarey mausam, Sab deewarain..
Nazam Shayari
Meine ghar ke sarey mausam,
Sab deewarain,
Saarey pardey,
Yaadon se rang daaley hain,
Tum aao ge,
Tum is ghar ki har khirrki,
Har bagheechey,
Har ik goshay ko,
Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,
Aajao na!!
Aa bhi jao!!
Tumhen Hum Khoo Chukay Lekin..
Nazam Shayari
Chalo Hum Maan Lete Hain,
Tumhen Hum Khoo Chukay Lekin,
Tumhri Yad Ab Tak Bhi,
Hamain Betaab Rakhti Hai,
Hamari Sans Ab Tak Bhi,
Tumhari Aas Rakhti Hai,
Magar Ab Ye Bhi Suntay Hain,
Tumhari Raah Roshan Hai,
Tumhen Bhi Mil Gaya Koi,
Magr Afsos,
Hum Jesa,
Agar Pao Kahin Tum To,
Mujhe Doo Harf Likh Dena,
Ke,
Manzil Mil Gai Mujhko..!!
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.