Nazam Shayari
Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.Nazam Shayari Collection
Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.
Kabhi Sab Kuch Keh Kar, Kabhi Khamosh Reh Kar ..
Nazam Shayari
Kabhi Sab Kuch Keh Kar
Kabhi Khamosh Reh Kar
Kabhi Bahut Door Jaa Kar
Kabhi Paas Aa Kar,
Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai,
Ke Uski Mohabbaton Ka,
Shiddaton Ka Koi Shumaar Nahi,
Magar Usse Puchho
Bata Kar Hi Ki Jaati Hai?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???
Usey kehna, Ke aaj bhi, Koi apni saanson mein…
Nazam Shayari
Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apni saanson mein,
Teri sansain talash karta hai,
Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apne dil mein,
Teri dharkan talash karta hai,
Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apne seeney mein,
Teri chahat ki haraarat talash karta hai,
Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi apne hathon per,
Tere hathon ka lamss talaash karta hai,
Usey kehna,
Ke aaj bhi,
Koi hijar ki raaton mein,
Wassl ke lamhaat talash karta hai..
Magar ik baat batao.. Masroof ho ?
Nazam Shayari
Muraavatien hi sahi
Magar ik baat batao
Masroof ho…. ??
Ya
Bhoolna
Chah Rahe ho……. ?
Aansuyon ka bhar jana..
Nazam Shayari
Khuwab posh aankhon mein,
Aansuon ka bhar jana,
Hasraton k sahil pr,
Titlion ka mar jana,
Habs ki hawaon men,
Khushbuon ka darr jana,
Dil k garm sehra men,
Hashar he barpa hona,
Dard la-dawa hona,
Kya bohat zaroori tha,
Ab tera “judaa hona”???
Sabhi insan hain mager, Faraq sirf itna hay..
Nazam Shayari
Sabhi insan hain mager
Faraq sirf itna hay
Kuch zakham dety hain
Kuch zakham bharty hain
Humsafar
Boht hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch sath dety hain
Kuch chor dety hain
Piyar
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch jaan dety hain
Kuch jaan lety hain
Dosti
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch loog nibhatay hain
Kuch loog aazmatay hain
Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale..
Nazam Shayari
Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale
Koi Haath Me Thame Haath Mera
Koi Le Ke Mujh Ko Saath Chale
Koi Baithe Mere Pehlu Me
Mere Haath Pe Apna Hath Dhare
Aur Ponch Ke Aansu Ankhon Se
Woh Dheere Se Yeh Baat Kahe
Yun Tanha Safar Ab Kat Ta Nahi
Chalo Hum Bhi Tumhare Saath Chalein
Meri bad-kismati na samajh
Nazam Shayari
Meri majbori ko
Meri bad-kismati na samajh
Kyon ki
Mai Aise raste pe chala hu
Jaha
Perchayi bhi sath chod deti hai..
Tumhara Dil Jo Hai Janaa, Humare Naam Ker Daina
Nazam Shayari
Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina
Zaroorat ger Pari Mujh Ko
To Main Kuch Or Mangon ga
Na Jaan Maangon ga
Na Pehchaan Mangon ga
Choti Si Guzarish Hai
Tumhara Sath Maangon ga
Ager Naraaz Ker Doge
Main Tum Se Rooth Jaon Ga
Bulana B Ager Chaho
To Wapis He na Aaon ga
Main Hasaas Larka Hon
Mera Dil Toot Jayega
Bohut Rona B Aayega
Ager Tum Maan Jaoge
Khushi Se Jhoom Jaonga
Tumhe Apna Banaonga
Ager Nazer E Karam Ho To
Mera Ik Kaam Ker Daina…..!
Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina………
Suno… Abhi tum ishq mat karna …
Nazam Shayari
Suno
Abhi tum ishq mat karna
Abi matti se khelo tum,
Tumhari umar hi kya hai
Abi masoom bache ho
Nai maloom abi tum ko
Ke jab yeh ishaq hota hai
Tau insan kitna rota hai
Sitare toot jate hain
Sahare choot jate hain
Abi tum ne nai dekha
Ke jab sathi bichtarte hain
Ketna dard melta hai
Ke har furqat k masum main \
Hazaro gum ubartay hain
Hazaro zakhm melte hain
Suno
Abhi tum ishq mat karna
Bas yehi gila hai zindagi hai…
Nazam Shayari
Bas yehi gila hai zindagi hai,
Humain kya mila hai zindagi se,
Ghamon ke aadi hain,
dukh ke saye hain,
Sitam jane kya kya hum ne khaye hain,
Andhera hi andhera hai roshni nahi hai,
Sab ko chand mila, mujhko chandni nahi hai,
Sab ke sang sath hai,
Sab khushi se jee rahe hain,
Zeher yeh judai wala,
Bas hum hi pee rahe hain,
Har koi hanss raha,
Meri ankhon mein hi paani hai,
Meri barbadiyon ki,
Jese yeh nishani hai…
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.