Nazam Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Nazam Shayari Poetry. Feel free to add your own Nazam Shayari Shayari here.

Nazam Shayari Collection

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.



Tum ne kaha tha, Pehli barish ke parte hi..

Nazam Shayari

Tum ne kaha tha,
Pehli barish ke parte hi,
Laut aao ge..!!
Hum aur tum mil kar bheegain ge,
Dekho jana..!!
Kitni phua’rain beet chuki hain,
Saawan phir se laut ke aaya hai,
Barson pehle kiya tha tum ne,
Mujh se ehad,
Nibhaa jao na,
Janaan! Laut ke aajao naa,
Ab to laut ke aajao naa..!!



Woh kehti hai Mere hathon ki mehndi mein..

Nazam Shayari

Woh kehti hai,
Mere hathon ki mehndi mein,
Meri ankhon ke kaajal mein,
Mere honthon ki laali mein,
Meri zulfon ke aanchal mein,
Jane jaan,
Har ek cheez adhoori hai,
Ke jese,
Tum mere bina,
Aur
Mein tere bina..

Fayaz Hussain Faizi



Dua to jane kaun si thi..

Nazam Shayari

Dua to jane kaun si thi,
Zehen mein nahin,
Bas itna yaad hai,
Ke do hatheliyan mili huyi thi,
Jin mein ek meri thi,
Aur ik tumhari..



Usey mat chorr ke jao…

Nazam Shayari

Suno,
Tum azam wale ho,
Balaa ka zabt rakhte ho,
Tumhain kuch bhi nahin hoga,
Magar dekho,
Jisey tum chorre jate ho,
Usey to theek se shayed,
Bicharna bhi nahin ata,
Suno,
Tum azam wale ho,
Usey mat chorr ke jao…

Akhtar Malik



Bohat socha nahin karte..

Nazam Shayari

Suno yu’n umar ghat’ti hai,
Bohat socha nahin karte,

Mohabbat karke aayina,
Bohat dekha nahin karte,

Yu’n hathon ki lakeeron ko,
Bohat chooma nahin karte,

Kisi dil men woh kehta hai,
Bohat thehra nahin karte,

Jo khud apna ho aayina,
Usey dhundla nahin karte,

Jahan tareek sochain hon,
Wahan chamka nahin karte,

Jo aansu dil se ubhre hon,
Unhe roka nahin karte,

Akele khud to rehte hain,
Nahin tanha nahin karte,

Kisi ke hijar mein Arshad,
Bohat jaaga nahin karte,

Suno yu’n umar ghat’ti hai,
Bohat socha nahin karte,



Kaha tha yaad hai tum ne..

Nazam Shayari

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon chand,
Aur tum chandni meri,
Magar jab chand chup jaye,
Kaho phir chandni kesi ?

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon phool,
Aur tum phool ki khushbu,
Magar jab phool murjhaye,
Kaho khushbu bhala kesi,

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon dil,
Aur tum dharkan,
Magar dil toot jaye to,
Kaho phir dharknain kesi,

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon aas,
Aur tum zindagi meri,
Magar jab aas tootey to,
Kaho phir zindagi kesi…??



Wo manzlain bhi kho gai, Wo rasty bhi kho gaye..

Nazam Shayari

Wo manzlain bhi kho gai,
Wo rasty bhi kho gaye,
Jo aashna say loog thay,
Wo ajnabi say ho gaye.
Na chand tha na chandni,
Ajeeb thi wo zindagi,
Chiragh thy k bujh gaye,
Naseeb thay k so gaye,
Ye pochty hain rasty,
Rukay ho kiss k wastay.
Chalo k tum bhi ab chalo,
K Wo meharban b kho gaye..



Unko Yaad Krnay Ki, Adatin Purani Hain..

Nazam Shayari

Barishon K Mosum Mein ..
Unko Yaad Krnay Ki
Adatin Purani Hain..
Ab K Baar Socha Hai..
Aadtain Badal Daalian Phir
Khayal Aatay Hai..
Adtain Badlnay Say Barishain,
Nhi Ruktien..



Un dino, Jab tum they yahan..

Nazam Shayari

Un dino,
Jab tum they yahan,
Andhere dekhkar tumko jagmagate they,

Murjhaaye huae phool bhi,
Pal bhar mai khil jate they,

Bhanron ki shararat tum se thi,
Rangon mai rang ghul jate the,

Un dino,
Jab chand raaton mai pura sa dikhayi deta tha,
Jhilmilate taaron ke labon par,
Naam tumhara rehta tha,

Bahon ko phelaye raaste,
Bas tumko bulaya karte they,

Manzil ka pata wo khud chalkar,
Tumko bataya karte they,

Un dino,
Jab meri ghazalon ko,
Tere geeton ki sargam milti thi,

Jab mere dil ki ganga se,
Tere dil ki yamuna milti thi,

Hawaon ka aana jana tha,
Teri zulfon ki dehleezon par,

Aanchal mai chupakar rakhti thin,
Tum ghanghoor ghataon ko,

Na koi kami jeewan mai thi,
Jab tum meri bahon mai they,

Un dino,
Jab ke tum the yahan…

by Shamsul Huda Rajpoot



Jisko Chaha Jata Hay, Zarori Ye Nahi Hota Ke Usko Pa Liya Jaey..

Nazam Shayari

Mohhabat Dukh To Deti Hay

Magar

Eik Bat Kehni Hay
Jisko Chaha Jata Hay
Zarori Ye Nahi Hota K
Usko Pa Liya Jaey

Kabhi Us K Bicharne Se
Mohabbat Kam Nahi Hoti

Zara Si Dair Pahle To
Yehi Ehsaas Hota Hay K

Koi Ji Nahi Sakta
Magar Phir Rafta Rafta Hi
Haqiqat KhulTi Jati Hay

Mohabbat Wo Nahi Hoti

K Jisko Pa Liya Jaey

Mohabbat Wo B Hoti Hay
Jo Hamesha Sath Rahti Hay

Kabhi Dukh K Andheron mai
Kabhi Khushion K Daman mai

Kabhi Wo Aas Dati Hay
Kabhi Umeed Dati Hay..!!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Nazam Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari