Sad Shayari

Ranjish.com has lots of Urdu Sad Shayari Poetry. Feel free to add your own Sad Shayari Shayari here.

Sad Shayari Collection

urdu sad poetry
Sad Shayari is a form of Urdu Poetry which is depressing, unhappy and sorrowful. Sad Poetry is loved by people who are depressed and heart-broken. Reading and Writing Urdu sad poetry is a nice way to express your sad feelings to the world.
There are lots of famous poets who were known for their sad poetry, but there are lots of couplets and poems out there which are very good but their authors are not known. We will try to upload all of the sad poetry whether their authors are known or not known.



Ab K De Wo Dard K Mein Ro’un Tamaam Umer. . !

Sad Shayari

Ab k de wo dard k mein ro’un tamaam umer. .
Ab k laga wo zakhm k jeena mahaal ho. . !



Hamari Taraf Ab Wo Kam Dekhty Hain. .

Sad Shayari

Hamari taraf ab wo kam dekhtay hain. .
Wo nazrain nahi, jinko hum dekhtay hain. . !



Tumhain Bhi Dekh K Hum Zindagi K Sehra Mein. .

Sad Shayari

Tumhain bhi dekh k hum zindagi k sehra mein. .
Khilay huay hain kisi zakhm-e-aarzu ki tarha. . !



Hum Rooh-e-Safar Hain. . !

Sad Shayari

Hum rooh-e-safar hain, humain naamo’n se na pehchaan
Kal aur kisi naam se aa jaingy hum log. . !



Hai Dil K Liye Mout, Masheeno’n Ki Hakumat!

Sad Shayari

Hai dil k liye mout, masheeno’n ki hakumat!
Ehsaas-e-murawwat ko kuchal daity hain aalaat!



Dhoop Gharri Ka Daur Bhi Kitna Acha Tha. .

Sad Shayari

Dhoop Gharri ka daur bhi kitna acha tha. .
Wakt ka dariya pao’n k neechy behta tha. .

Meine aankhain mond’een aur dum saadh liya
Aik parinda kandhay per aa betha tha. .

Sabit hain ab tak phoolo’n k do surkh nishan
Khuwab mein kis ne mera maatha chooma tha. .

Barhti umer k sath khulay israar us kay
Kitna zaalim thaw o hijr jo pehla tha. .

Jab apny itraaf mein bheer ka shor suna
Tab mujh ko ehsaas hua mein tanha tha. .

Hijr k us lamhay per ab tak naadim hun
Tark-e-ta’alluq ki baabat jab socha tha. .

Khaak urraatey phirtey hain ab khaak nashee’n
Ik din kehkasha’n per pao’n na tikta tha. !



Zeenay Pe Rakh Gaya Koi Tehni Gulaab Ki. .

Sad Shayari

Zeenay pe rakh gaya koi tehni gulaab ki. .
Aisay diya kisi ne sandesa bahaar ka. . !



Saray Parind So Gaye, Khuwab Nagar Mein Kho Gaye. .

Sad Shayari

Saray parind so gaye, khuwab nagar mein kho gaye, ,
Ows mein bheegta raha, raat ko baagh mein koi. . !



Hum Ehl-e-Qafas Tanha Bhi Nahi. .

Sad Shayari

Hum ehl-e-qafas tanha bhi nahi, har roz naseem-e-subha-e-watan
Yaado’n se mo’atar aati hai, ashko’n se munawwar jaati hai. . !



Kabhi Ghar Se Nikal Kar Tum Ne. .

Sad Shayari

Kabhi ghar se nikal kar tum ne
Sarma ki thitharti chandni shab mein
Akelay chand ko dekha?
Kabhi sunsaan bagho’n mein
Kisi tanha rawish per chalty chalty, chand se pucha
K wo tum se ziada muztarib kyun hai?
Magar tum!
Band kamray k makee’n!
Khuwabo’n k shehzaday!
Nikal kar garm kamray se
Kahan jao gay adhi raat ko sunsan bagho’n mein?
Akelay chand se batain tou wo mazloom karty hain
Jinhain ghar k deewar-o-dar bhi
Dhatkaar daity hain
Jinhain apni awaazo’n k khnjar
Maar detay hain!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Sad Shayari.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari