Abdul Ghafoor Shahbaz

Ranjish.com has lots of Urdu Abdul Ghafoor Shahbaz Poetry. Feel free to add your own Abdul Ghafoor Shahbaz Shayari here.

Abdul Ghafoor Shahbaz Collection

Abdul Ghafoor Shahbaz Abdul Ghafoor Shahbaz
1859-1908

A popular poet from Kolkata. Find beautiful poetry by Abdul Ghafoor Shahbaz at Ranjish.com



Hai ishq to phir assar bhi hoga..

Abdul Ghafoor Shahbaz

Hai ishq to phir assar bhi hoga,
Jitna hai idhar, udhar bhi hoga,

Maana yeh ke dil hai us ka pathar,
Pathar main nihaan sharar bhi hoga,

Hasne de usay lehad pe meri,
Ik din wohi nauhaa-gar bhi hoga,

Naadan, na samajh jahaan ko ghar,
Is ghar se kabhi safar bhi hoga,

Zulfon se jo us ki chaaye gi raat,
Chehre se ayaa’n qamar bhi hoga,

Shahbaz main aaib hi nahin kul,
Ek adh koi hunar bhi hoga..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Abdul Ghafoor Shahbaz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari