Afkar Alvi

Ranjish.com has lots of Urdu Afkar Alvi Poetry. Feel free to add your own Afkar Alvi Shayari here.

Afkar Alvi Collection

Afkar Alvi is a young Urdu poet from Pakistan. Lets all read and enjoy ghazal and shayari written by Afkar Alvi.

Afkar Alvi Poetry



yaar kuch chehre mere zehen main hain jin ke sabab

Afkar Alvi

yaar kuch chehre mere zehen main hain jin ke sabab
koi chehra bhi mujhe yaad nahin rehta



hamari zindagi barbad ho gayi lekin

Afkar Alvi

hamari zindagi barbad ho gayi lekin
qasoorwar na laye gaye saza ki taraf



aaj phir ghar main tera zikar hua

Afkar Alvi

aaj phir ghar main tera zikar hua
aaj phir adhi bhook choRri gayi



apni tareef bhi mayaar ghaTta deti hai

Afkar Alvi

apni tareef bhi mayaar ghaTta deti hai
aese ho jao ke, tum kya ho, batana na paRre



koi nahin jo hamara khayal rakhe aur

Afkar Alvi

koi nahin jo hamara khayal rakhe aur
koi nahin hai ke hum jis ki dekh bhaal karen



milen to apne dilaase ke vaste afkar

Afkar Alvi

milen to apne dilaase ke vaste afkar
hum aik dusre ke dukh pe hanste rehte hain



jo bhi izat ke Ddar se Ddar jaye

Afkar Alvi

jo bhi izat ke Ddar se Ddar jaye
mat kare ishq apne ghar jaye

baat aa jaye jab dua-on par
is se behtar hai banda mar jaye

thoRri se aur dair samne reh
meri ankhon ka paiTt bhar jaye

al-muhayimin ke ghar bhi khatre hain
jaye bhi to koi kidhar jaye

haan aqeeda agar na qaid rakhe
phir to insan kuch bhi kar jaye

bebasi ki yeh akhri hadh hai
meri aulad aap par jaye

us ke chehre pe aaj udasi thi
haye afkar alvi mar jaye


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Afkar Alvi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari