Ahsan Suleman

Ranjish.com has lots of Urdu Ahsan Suleman Poetry. Feel free to add your own Ahsan Suleman Shayari here.

Ahsan Suleman Collection

Ahsan Suleman is young Urdu poet from Rawalpindi, Pakistan. Lets all read ghazals, nazams and shayari written by Ahsan Suleman.

Ahsan Suleman Poetry



har ik baat pe kehne lagte ho pyare baRra masla hai

Ahsan Suleman

har ik baat pe kehne lagte ho pyare baRra masla hai
suno manzil-en khubsurat hain bas rasta masla hai

kaha jab mera masla hai ke ap ache lagne lage hain
woh kehne lage ap ka masla ap ka masla hai

mohabbat mukamal na hona baRra masla hai yaqeenan
ghazal ka mukamal na hona bhi apni jagah masla hai

main har roz laRr kar nikalta hoon wapis na aney ki khatir
magar us ka khiRrki se rote huye dekhna masla hai

sabhi masle hal talab hain magar bhook pehle hai ahsan
mohabbat to insan ka apna banaya hua masla hai



ayat sunao sabr ki koi quran se

Ahsan Suleman

ayat sunao sabr ki koi quran se
warna ulajh paRroon ga main sare jahan se

woh bhi safar main thak ke kahin door reh gaya
aur main bhi cheekhne laga ik din thakaan se

woh shaam aj tak mere seene pe naqsh hai
ik shakhss phir gaya tha jab apni zaban se



hamari ik ankahi kahani udaas ankhon main reh gayi hai

Ahsan Suleman

hamari ik ankahi kahani udaas ankhon main reh gayi hai
bhari jawani ki raigaan-i udaas ankhon main reh gayi hai

bichaRr-ne wale ka aansu ab tak hamari ankhon se beh rahe hain
bichaRr-ne wale ki ik nishaani udaas ankhon main reh gayi hai

agar tumhe aj bhi koi gham mile to rona mujhe paRre ga
tumhari kashti ki baadbaani udaas ankhon main reh gayi hai

jo shahzade ke khawb bunti safar main mujh se bichaRr gayi thi
baRre mahalaat ki woh raani udaas ankhon main reh gayi hai



har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho

Ahsan Suleman

har dukh mujhe qabool magar yeh sitam na ho
ya rab bichaRr-te waqt bhi woh aankh num na ho

yeh kya ke saari raat kaTe jagte huye
aur phir bas aik sher ho us main bhi dum na ho

yeh kya ke aik dar se bandhe hon tamaam umar
yeh kya ke aik baar bhi nazar -e- karam na ho

yah kya ke sab se daad ke talib ho shayaro
yaani ke woh bhi roye ke jise koi gham na ho

ae kash ke apni jang chiRre us badan ke sath
aur dono samt aman ka koi alam na ho

sansain ukhaRr ukhaRr kar chalen par chalen zaroor
hum main agar judai ho to kabhi aik dum na ho



puchte hain ke mohabbat ka bhi khamyaaza hai

Ahsan Suleman

puchte hain ke mohabbat ka bhi khamyaaza hai
mujh se miliye ke mera zakham abhi taaza hai

mere hone ki aziyat ko bhi main janta hoon
is liye teri aziyat ka bhi andaaza hai


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ahsan Suleman.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari