Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Ranjish.com has lots of Urdu Akhlaq Mohammad Khan Shahryar Poetry. Feel free to add your own Akhlaq Mohammad Khan Shahryar Shayari here.Akhlaq Mohammad Khan Shahryar Collection
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar 1936-2012 |
Akhlaq Mohammad Khan was also known as Shahryar. He was an educator, poet and a lyricist from Aligarh, India.
Find beautiful poetry by Shahryar at Ranjish.com
Seene main jalan, ankhon main tufan sa..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Seene main jalan, ankhon main tufan sa kyun hai,
Is sheher main har shakhs pareshan sa kyun hai..
Shadeed pyas thi phir bhi chua na paani ko..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Shadeed pyas thi phir bhi chua na pani ko,
Main dekhta raha darya teri rawani ko..
Shadeed pyas thi phir bhi chhua na pani ko..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Shadeed pyas thi phir bhi chhua na pani ko,
Main dekhta raha daryaa teri rawani ko..
Kaun si baat hai jo us main nahin..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Kaun si baat hai jo us main nahin,
Us ko dekhe meri nazar se koi..
Aese hijr ke mausam kab kab atey hain..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Aese hijr ke mausam kab kab atey hain,
Tere elawa yaad humen sab atey hain..
Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Seene main jalan ankhon main tufaan sa kyun hai,
Iss sheher main har shakss pareshaan sa kyun hai,
Dil hai to dharrakne ka bahaana koi dhoondhe,
Pathar ki tarah be-hiss o be-jaan sa kyun hai,
Tanhaayi ki yeh kaun si manzil hai rafiqo,
Ta hadh-e-nazar ek bayabaan sa kyuun hai,
Hum ne to koi baat nikaali nahin gham ki,
Woh zuud-pashemaan pashemaan sa kyun hai,
Kya koi naii baat nazar aati hai hum main,
Aayina hamen dekh ke hairaan sa kyun hai..
Aise hijr ke mausam kab kab aatay hain..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Aise hijr ke mausam kab kab aatay hain,
Tere ilaawa yaad humen sab aatay hain..
Tere vaadon ko kabhi jhoot nahin samjhoon ga..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Tere vaadon ko kabhi jhoot nahin samjhoon ga,
Aaj ki raat bhi darwaza khula rakhoon ga,
Dekhne ke liye ik chehra bohat hota hai,
Aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhoon ga,
Meri tanhayi ki ruswayi ki manzil aayi,
Vasl ke lamhe se main hijr ki shab badloon ga,
Shaam hote hi khuli sarrkon ki yaad ati hai,
Sochta roz hoon main ghar se nahin nikloon ga,
Taa-kay mehfooz rahe mere qalam ki hurmat,
Sach mujhe likhna hai main husn ko sach likhoon ga..
Yeh kya jagah hai dosto yeh kaun sa dayaar hai..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Yeh kya jagah hai dosto yeh kaun sa dayaar hai,
Hadh-e-nigaah tak jahan ghubaar hi ghubaar hai,
Har ek jism ruuh ke azaab se nidhaal hai,
Har ek aankh shabnami har ek dil figaar hai,
Hamen to apne dil ki dharrknon pe bhi yaqeen nahin,
Khosha woh log jin ko doosron pe aitbaar hai,
Na jis ka naam hai koi na jiss ki shakal hai koi,
Ek aisi shai ka kyun hamen azzal se intizaar hai..
Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye..
Akhlaq Mohammad Khan Shahryar
Aandhii ki zadd main sham-e-tamanna jalaayi jaye,
Jis tarah bhi ho laaj junoon ki bachaayi jaye,
Be-aab o be-giyaah hai yeh dil ka dasht bhi,
Ik nehr aansuyon ki yahan bhi bahaayi jaye,
Aajiz hain apne taala-e-bedaar se bohat,
Har raat hum ko koi kahaani sunaayi jaaye,
Sab kuch badal geya hai magar log hain ba-zid,
Mehtaab hi main suurat-e-janaan dikhaayi jaye,
Kuch saagharon main zehr hai kuch main sharaab hai,
Yeh masla hai tishnagi kis se bujhayi jaye,
Shehron ki sarhadon pe hai sehraaon ka hujoom,
Kyaa maajra hai aao khabar to lagaayi jaye,
Naazil ho jism-o-rooh pe jab be-hissi ka qehr,
Uss waqt dosto yeh ghazal gungunaayi jaye..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Akhlaq Mohammad Khan Shahryar.