Akhtar Shumar

Ranjish.com has lots of Urdu Akhtar Shumar Poetry. Feel free to add your own Akhtar Shumar Shayari here.

Akhtar Shumar Collection

Akhtar Shumar Akhtar Shumar

Akhtar Shumar is a popular Urdu poet from Pakistan. Ranjish.com is the best plate to read Akhtar Shumar Poetry.



Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahin..

Akhtar Shumar

Us ke nazdeek gham-e-tark-e-wafa kuch bhi nahin,
Mutmayin aesa hai woh jese ke hua kuch bhi nahin,

Ab to hathon se lakeeren bhi mitti jaati hain,
Us ko kho kar to mere pas raha kuch bhi nahin,

Kal bicharrna hai to phir ehd-e-wafaa soch ke baandh,
Abhi aghaaz-e-mohabbat hai geya kuch bhi nahin,

Main to is wastay chup hoon ke tamasha na bane,
Tu samajhta hai mujhe tujh se gilaa kuch bhi nahin,

Ae shumaar ankhen isi tarah bichaaye rakhna,
Jaane kis waqt woh aa jaye pata kuch bhi nahin..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Akhtar Shumar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari