Alam Khursheed

Ranjish.com has lots of Urdu Alam Khursheed Poetry. Feel free to add your own Alam Khursheed Shayari here.

Alam Khursheed Collection



Thapaak thapaak ke jinhe hum sulaate rehte hain..

Alam Khursheed

Gaye dinon ko magar hum bulaate rehte hain

Thapakk thapakk ke jinhe hum sulaate rehte hain,
Woh khawb hum ko hamesha jagaate rehte hain,

Umeeden jaagti rehti hain soti rehti hain,
Dareeche shamaa jalaate bujhaate rehte hain,

Na jaane kis ka humen intezar rehta hai,
Ke baam-o-dar ko hamesha sajaate rehte hain,

Kisi ko dhoondte hain hum kisi ke paikar main,
Kisi ka chehra kisi se milaate rehte hain,

Woh naqsh-e-khawb mukammal kabhi nahin hota,
Tamaam umar jise hum banaate rehte hain,

Usi ka akss har ik rang main jhalakta hai,
Woh ek dard jis sab chupaate rehte hain,

Hamen khabar hai kabhi lat kar na ayen ge,
Gaye dinon ko magar hum bulaate rehte hain,

Yeh khel sirf tumhin khelte nahin ‘alam’,
Sabhi khalaa main lakeeren banaate rehte hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Alam Khursheed.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari