Ankita Singh

Ranjish.com has lots of Urdu Ankita Singh Poetry. Feel free to add your own Ankita Singh Shayari here.

Ankita Singh Collection

Ankita Singh is an Urdu poet from India. Lets enjoy all of her ghazal shayari and nazam shayari.



Akele beth kar tum ko kabhi jab yaad karti hoon..

Ankita Singh

Akele beth kar tum ko kabhi jab yaad karti hoon,
main rona, muskurana haye dono sath karti hoon,

yaheen sofe pe bethe saat ambar ghoom aati hoon,
tumhara naam chakhti hoon nashe main jhoom jati hoon,

kahan hoon main jahan meri khabar mujh tak nahin ati,
gali dil ki tumhari yaad se abaad karti hoon,

tera jana meri ankhon main pyase khawb bota hai,
tera takiya lipaTt kar mujh se sari raat sota hai,
teri khushbu meri sanson ki galiyon main tehelti hai,
bari kambakht hai yeh yaad ankhon main pighalti hai,
main sari raat sona jaagna ik sath karti hoon,

teri baaton ke phoolon se ghazal makhdoom karti hoon,
main chupke se teri DP ko jab bhi zoom karti hoon,
tere phooke huye cigarette main aksar raakh hoti hoon,
teri lat main kabhi dhuan kabhi khaak hoti hoon,
main apne zakham par ashkon ki khud barsaat karti hoon..



Woh jis par us ki rehmat ho, woh daulat mangta hai kya..

Ankita Singh

woh jis par us ki rehmat ho, woh daulat mangta hai kya,
mohabbat karne wala dil, mohabbat mangta hai kya,

tumhara dil kahe jab bhi ujaala ban ke aa jana,
kabhi ugtaa hua suraj ijazat mangta hai kya..



jo pehle shaad karta tha, woh ab nashaad karta hai..

Ankita Singh

jo pehle shaad karta tha, woh ab nashaad karta hai,
na ab woh dil dhaRrakta hai, na ab fariyad karta hai,

alag hai tu, alag masroofiyat ke hain tere andaz,
tujhe yeh tak nahin hai yaad, koi yaad karta hai..



Tumhe lagta hai mere ho, magar mere nahin ho tum..

Ankita Singh

tumhe lagta hai mere ho , magar mere nahin ho tum,
yaqeen kitna bhi dilwao, magar mere nahin ho tum,

meri har subh par qabza, meri har shaam par qabza,
mere har khawb main to ho, magar mere nahin ho tum..



Jo neend main ho, ya jagte ho..

Ankita Singh

jo neend main ho, ya jagte ho,
palak pe sapne mere hi rakhna,

sawal dil main koi na rakhna,
jawab dil main bhale hi rakhna,

jo ho zaroori tumhara jana,
to jate jate baat sun lo,

khayal rakhna magar ae jana,
khayal main bas mujhe hi rakhna..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Ankita Singh.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari