Faizan Arif

Ranjish.com has lots of Urdu Faizan Arif Poetry. Feel free to add your own Faizan Arif Shayari here.

Faizan Arif Collection

Faizan Arif Faizan Arif

Get all the Faizan Arif poetry right here at Ranjish.com .



Chup chup ke mohabbat ko na badnaam kiya jaye..

Faizan Arif

Chup chup ke mohabbat ko na badnaam kiya jaye,
Jo kaam kiya jaye sar-e-aam kiya jaaye,

Yeh dil ke tere baad behelta hi nahin hai,
Ab tuu hi bata kese isse raam kiya jaaye,

Yeh to mere harfon ka taqaaza hai meri jaan,
Jo sher likha jaaye tere naaam kiya jaaye,

Thhak haar ke kal shaam kaha tha yeh hawa ne,
Awaara parindon ko teh-daam kiya jaaye,

Kya fayeda phir aesi jawani ka ke jis main,
Jab soch samajh kar hi har aik kaam kiya jaaye,

Shayed woh palatt aaye kabhi shabb ka musafir,
Roshan hi chiraaghon ko sar-e-shaam kiya jaaye,

Kal shaam yeh ghar chorr to dena hai humen bhi,
Behtar hai ke kuch waqff dard e baam kiya jaaye,

Faizan yeh duniya to hai bazaar ki suurat,
Hai kiss ko khabar kal kisse neelaam kiya jaaye..



Hum unse door hote jaa rahe hain..

Faizan Arif

Hum unse door hote jaa rahe hain,
Bohat majboor hote jaa rahe hain,

Jinhe gumnaam rehna chahiye tha,
Wohi mashoor hote jaa rahe hain,

Sambhal jaao ke ab dushman ke hamle,
Bohat bharpoor hote ja rahe hain,

Khulle they zakhm jo phoolon ki suurat,
Woh ab na-suur hote jaa rahe hain,

Saffar to soch ka jaari hai aur hum,
Thakkan se chhuur hote ja rahe hain,

Zamaana phailta jata hai jitnaa,
Bashhar mehsuur hote jaa rahe hain..



Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga..

Faizan Arif

Mohabbaton main har aik lamhaa visaal ho ga yeh tehh hua tha,
Bicharr ke bhi aik duusre ka khayaal ho ga yeh tehh hua tha,

Wohi hua na, badalte mausam main tum ne hum ko bhulaa diya,
Koi bhi rut ho, na chahton ko zawaal ho ga yeh tehh hua tha,

Yeh kya ke saansain ukharr gayi hain safar ke aghaaz hi se yaro,
Koi bhi thhak kar na raaste me niddhaal ho ga yeh tehh hua tha,

Judaa huye hain to kya hua phir, yehi to dastoor-e-zindagi hai,
Judaaiyon main na qurbaton ka malaal ho ga yeh tehh hua tha,

Chalo ke “faizan” kashtiyon ko jalaa dein gumnaan sahilon pr,
Ke ab yahan se na wapsi ka sawaal ho ga yeh tehh hua tha..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Faizan Arif.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari