Farhat Abbas Shah

Ranjish.com has lots of Urdu Farhat Abbas Shah Poetry. Feel free to add your own Farhat Abbas Shah Shayari here.

Farhat Abbas Shah Collection

Farhat Abbas Shah Farhat Abbas Shah
1964-

Farhat Abbas Shah is well known for his famous poems on love. We bring you the most popular poetry by Farhat Abbas Shah. We will keep adding new Farhat Abbas Shah Poetry so keep coming back.



Husn-o-Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay

Farhat Abbas Shah

Husn-o-Jamaal Ke Bhi Zamaanay Nahi Rahay
Aankhon Mein Oski Khwaab Suhaanay Nahi Rahay

Milnay Ko Aa Hee Jata Hai Har Chund Roz Baad
Lagta Hai Oske Paas Bahaanay Nahi Rahay

Larzish Hai Haath Mein Tou Mein Tou Nazar Bhi Hai Dhundli
Pehlay Se Ab Wo Dil Ke Nishaanay Nahi Rahay

Uthti Nahi Hain Shoq-o-Tajassus Ke Ba-Wajood
Aankhon Ke Kitnay Kaam Puraanay Nahi Rahay

Kamray Se Bhar Gaye Hain Masaail Ki Gard Se
Dil Mein Tere Khayaal Ke Khaanay Nahi Rahay



Kubhi Safar Tou Kubhi Shaam Le Gaya Mujh Se

Farhat Abbas Shah

Kubhi Safar Tou Kubhi Shaam Le Gaya Mujh Se
Tumhara Dard Kayi Kaam Le Gaya Mujh Se

Mujhe Khabar Na Howi Aur Zamaana Jaatay Howay
Nazar Bachaa Ke Tera Naam Le Gaya Mujh Se

Ose Ziaada Zaroorat Thi Ghar Basaanay Ki
Wo Aake Mere Dar-o-Baam Le Gaya Mujh Se

Bhalaa Kahan Koi Juz Oske Milnay Waala Tha
Bas Ik Jurrat-e-Naakaam Le Gaya Mujh Se

Bas Ik Lamhay Ke Sach Jhoot Ke Awiz Farhat
Tamaam Umar Ka ilzaam Le Gaya Mujh Se



Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Farhat Abbas Shah

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi
Chaunktey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Hijr Ki Raaton K Sung Aankhoun Ko Bhi
Jaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Jaaney Kia Dar Hai K Apnay Aap say
Bhaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Nahin Lautey Gaa Phir Kiyoon Rehguzar
Daikhtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Meray Andar Chupa Hay Or Usay
Boltey Rehnay Ki Aadat Hogayi~!



Mere Baad Dard Ki Daastan

Farhat Abbas Shah

Mere Baad Dard Ki Daastan
Tujhe Kon Aa ke Sunaye Ga ?

Mujhe Raastay Mein Khabar Mili
Wo Tou Sheher Hee Se Chala Gaya

Meri Zindagaani Ke Khaar-o-Khas
Koi Jaatay Jaatay Jala Gaya

Mere Ratjago Ko Khabar Karo
Mujhe Neend Aayi Hai Dekhne

Mein Tou Apnay Aap Mein Hee Nahi
Mujhe Mere Haal Pe Chhor Do

Bada Sakht Hai Tera Raasta
Mujhe Meri Raah Pe Mor De

Tujhe Kaisa Lagta Hai Din Dhalay ?
Kisi Dukh Ka Seenay Mein Tootna….!



Dil Udaas Rehta Hai, Baarishon Ke Mausam Mein…

Farhat Abbas Shah

Dil Udaas Rehta Hai
Baarishon Ke Mausam Mein
Zindagi Pighalti Hai
Khwaahishon ke Mausam Mein
Waqt Thehar Jata Hai
Muntazir Nigahon Mein
Janglon Ke Khatray Hain
Bastion Ki Raahon Mein
Ho Sake Tou Lout Aana
Pyar Ki Panahon Mein..
Ishq Ka Ijaara Hai
Dil Ki Shahraaon Per



Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahin

Farhat Abbas Shah

Dekh lena ke kisi dukh ki kahani to nahin,
Yeh jo aansuu hain kahin us ki nishani to nahin,

Dikh rahi hai jo mujhe saaf teri aankhon mein,
Tu ne yeh baat kahin mujhse chupani to nahin,

Jis tarah sheher se nikla hoon mein beemar tera,
Yeh ujaRrna hai koi nakal-makaani to nahin,

Yeh jo har morr pe aa milti hai mujhse farhat,
Badnaseebi bhi kahin meri deewani to nahin..



Mohabbat chup nahin sakti

Farhat Abbas Shah

[lg_image folder=”shayari/” image=”Mohabbat chup nahin sakti.jpg” align=”center” display=”slide”]


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Farhat Abbas Shah.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari