Gulzar

Ranjish.com has lots of Urdu Gulzar Poetry. Feel free to add your own Gulzar Shayari here.

Gulzar Collection

Gulzar Sampooran Singh Kalra
1936

Sampooran Singh Kalra is well known as Gulzar in literature industry. He was born in the city of Jhelum in Pakistan but his family moved to India after partition. We have Gulzar’s latest poetry for our readers.
He prefers to writes in Urdu and Punjabi, but has also written in Hindi. Gulzar was also a prominent contributor to the “Aman ki Asha” peace campaign started by Pakistan and India by writing a song “Nazar Main Rehte Ho” which was sung by Shankar Mahadevan and Rahat Fateh Ali Khan.



Saans lena bhi kesi aadat hai..

Gulzar

Saans lena bhi kesi aadat hai
Jiye jana bhi kya riwayat hai
Koi aahat nahi badan mein kaheen
Koi saaya nahi hai aankhon mein
Paaon behis hain, chalte jate hain
Ik safar hai jo behta rehta hai
Kitne barason se, kitni sadiyon se
Jiye jate hain, jiye jate hain
Aadaten bhi ajeeb hoti hain



Agar aesa bhi ho sakta..

Gulzar

Agar aisa bhi ho sakta
Tumhaari neend mein
Sab khwaab apne muntaqil karke
Tumhe woh sab dikha sakta
Jo khwaabon mai main aksar dekha karta hoon

Ye ho sakta agar mumkin
Tumhe maloom ho jata,
Tumhe main le gaya tha sarhadon ke paar dina mein
Tumhe woh ghar dikhaya tha jahaan paida hua tha main
Jahaan chhat par lagaa sariyon ka junglaa
Dhoop se din bhar mere aangan mein shatranji banaata tha aur mitaata tha
Dikhaayi thi tumhe woh khetiyaan sarson ki dinay mein
Ki jiske peele peele phool khawb mein tumko kachche khilaaye the
Waheen ek rastaa tha ttaaliyon ka jispe meelon tak parra karte the
Jhoole saundhe saawan ke

Usi ki saundhi khushboo se mehak uthti hain aankhe
Jab kabhi uss khwaab se guzroon
Tumhe raftaas ka chalta kuan bhi to dikhaaya tha
Kile mein band rahtaa tha jo din bhar

Raat ko gaon mein aa jaata tha kehte hain
Tumhe kaala se kaluwaal tak leke uda hoon main
Tumhe dariay-e-jhelum par ajab manzar dikhaaye they
Jahaan tarbooj par lete hue tairak ladke behte rehte they
Jahaan tagde se ek sardaar ki pagdi pakad kar main
Nahata dubkiyaan lagata magar jab woh otar aa jaata
To meri neend khul jaati

Magar ye sirf khwaabon mein hi mumkin hai
Wahaan jaane mein ab dushwaariyan hain kuch siyasat ki
Watan ab bhi wohi hai, par nahin hai mulk ab mera
Wahaan jaana ho ab to do do sarkaaron ke daseeyon daftaron se
Shakl par lagwaa kar mohren, khawb saabit karne padte hain..



Gulon ko sunna zara tum sadayen bheji hain..

Gulzar

Gulon ko sunna zara tum sadayen bheji hain,
Gulon ke hath bohat si duayen bheji hain,

Jo aftab kabhi bhi ghuroob hota nahin,
Hamara dil hai usi ki shoayen bheji hain,

Agar jalaye tumhen bhi shifa mile shayad,
Ik aese dard ki tum ko shoayen bheji hain,

Tumhari khushk si ankhen bhalli nahin lagtin,
Woh sari cheezen jo tum ko rulayen, bheji hain,

Tumhara khawb se har shab lipat ke sote hain,
Sazayen bhej do hum ne khatayen bheji hain,

Akela pata hawa main bohat buland urra,
Zameen se paaon uthao hawayen bheji hain..

گلوں کو سننا ذرا تم صدائیں بھیجی ہیں



Zindagi yuun huyi bassar tanha..

Gulzar

Zindagi yuun huyi bassar tanha,
Qaafila sath aur safar tanha,

Apne saaye se chaunk jaate hain,
Umar guzri hai is qadar tanha,

Raat bhar baaten karte hain taare,
Raat kaate koi kidar tanha,

Doobne wale paar ja utre,
NaqshPaa apne chorr kar tanha,

Din guzarta nahin hai logon main,
Raat hoti nahi bassar tanha,

Hum ne darwaze tak to dekha tha,
Phir na jane gaye kidar tanha..

زندگی یوں ہوئی بسر تنہا - گلزار



Yeh kaisa ishq hai urdu zabaan ka..

Gulzar

Yeh kaisa ishq hai urdu zabaan ka,
maza ghulta hai lafzon ka zabaan pr,
ke jaise paan main mehnga qimaam ghulta hai..
nasha aata hai urdu bolne main,
gilauri ki tarah hain munh lagi sab istelahen,
lutf deti hai, halaq chuuti hai urdu to,
halaq se jaise mai ka ghoont utarta hai,
bari aristocracy hai zaban main
faqeeri main nawabi ka maza deti hai urdu,
agarche maani kam hote hain urdu main,
alfaaz ki ifraat hoti hai,
magar phir bhi
buland awaz parhiye to bohat hi moatbar lagti hain baten,
kahin kuch duur se kanon main parti hai agar urdu,
to lagta hai ke din jaarron ke hain
khirrki khuli hai,
dhoop andar aa rahi hai,
ajab hai yeh zabaan urdu,
kabhi kahin safar karte agar
koi musafir sher parh de ‘meer’ ‘ghalib’ ka,
woh chahe ajnabi ho,
yehi lagta hai woh mere watan ka hai,
bare shaista lehje main kisi se urdu sun kar,
kya nahin lagta ke ek tehzeeb ki awaz hai urdu..

Yeh kesa ishq hai urdu zaban ka..



Din kuch aese guzaarta hai koi..

Gulzar

Din kuch aese guzaarta hai koi

Din kuch aese guzaarta hai koi,
Jese ehsaan utaarta hai koi,

Dil main kuch yuun sambhaalta hoon gham,
Jese zevar sambhaalta hai koi,

Aayina dekh kar tasalli hui,
Hum ko is ghar main janta hai koi,

Pairr pr pakk geya hai phal shayed,
Phir se pathar uchaalta hai koi,

Dair se goonjte hain sanaatte,
Jaise hum ko pukaarta hai koi..

Din kuch aese guzaarta hai koi, jese ehsaan guzarta hai koi.. Gulzar



Kitaaben jhankti hain band almari ke sheeshon se..

Gulzar

Kitaaben jhankti hain band almari ke sheeshon se,
bari hassrat se takti hain,
maheenon ab mulaqaaten nahin hotin,
jo shaamen un ki sohbat main katta karti thiin,
ab aksar guzar jaati hain computer ke pardon par,
Bari bechain rehti hain kitaben,
unhe ab neend main chalne ki aadat ho gayi hai,
Bari hassrat se takti hain,
jo qadren woh sunaati thin,
ke jin ke cell kabhi martay nahin thay,
woh qadren ab nazar aati nahin ghar main,
jo rishte woh sunaati theen,
woh saare udhrray udhrray hain,

Koi safaah palattt-ta hon to ik sisski nikalti hai,
kayi lafzon ke maani gir parre hain,
bina paton ke sukhay tunndd lagte hain woh sab alfaz,
jin par ab koi maani nahin ugte,
bohat si istelaahen hain,
jo mitti ke sakoron ki tarah bikhri parri hain,
gilaason ne unhen matruuk kar dala,
zaban par zaiqaa aata tha jo safeh palattne ka,
ab ungli click karne se bas ik,
jhapki guzarti hai,
bohat kuch teh-ba-teh khulta chala jata hai parde pe,

Kitaabon se jo zaari raabta tha katt geya hai,
kabhi seenay pe rakh ke laitt jaate thay,
kabhi godi mein lete thay,
kabhi ghutnon ko apne rehl ki suurat bana kar,
neem sajde main parrha karte thay chuutay thay jabeen se,

Khuda ne chaha to,
woh sara ilm to milta rahe ga aaynda bhi,
magar woh jo kitaabon main mila karte thay,
sookhay mehke huye ruqqay,
kitaaben maangne girne uthaane ke bahane rishte bante thay,
un ka kya hoga,
woh shayed ab nahin honge..

Watch Video



Shaam se aankh main nami si hai..

Gulzar

gulzar poetry

Shaam se aankh main nami si hai,
Aaj phir aap ki kammi si hai..



Waqt rehta nahin kahin ttik kar..

Gulzar

Waqt rehta nahin kahin ttik kar,
Aadat is ki bhi aadmi ki si hai..



Aisa khamosh to manzar na fanaa ka hota..

Gulzar

Aisa khamosh to manzar na fanaa ka hota,
Meri tasveer bhi girtii to chhanaaka hota,

Yuun bhi ik baar to hota ke samandar behta,
Koi ehsaas to dariyaa ki anaa ka hota,

Saans mausam ki bhi kuch der ko chalne lagti,
Koi jhonka teri palkon ki havaa ka hota,

Kaanch ke paar tere haath nazar aate hain,
Kaash khushbuu ki tarah rang hinaa ka hota,

Kyun meri shakal pehen leta hai chhupke ke liye,
Ek chehra koi apna bhi khudaa ka hota..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Gulzar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari