Hasan Kamal

Ranjish.com has lots of Urdu Hasan Kamal Poetry. Feel free to add your own Hasan Kamal Shayari here.

Hasan Kamal Collection

Hasan Kamal is an Indian Poet famous for his songs in the film “Aaj Ki Aawaz”.



Ankhon ko intizaar ka de ke hunar chala geya..

Hasan Kamal

Ankhon ko intizaar ka de ke hunar chala geya,
Chaaha tha aik shakss ko jaane kidhar chala geya,

Din ki woh mehfilen gayin raaton ke rat’jage gaye,
Koi samaitt kar mere shaam o sehar chala geya,

Jhonka hai ik bahaar ka rang khayaal e yaar bhi,
Har suuu bikhar gayi khushbu jidar chala geya,

Us ke hi dum se dil main aaj dhoop hai chaandni bhi hai,
De ke woh apni yaad shamss o qamar chale gaye,

Kuucha-be-kuucha dar-be-dar kab se bhattak raha hai dil,
Hum ko bulaa ke raah main woh apni daggar chala geya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Hasan Kamal.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari