Humaira Rahat

Ranjish.com has lots of Urdu Humaira Rahat Poetry. Feel free to add your own Humaira Rahat Shayari here.

Humaira Rahat Collection

Humaira Rahat Humaira Rahat
1959-

Humaira Rahat is an Urdu Poet from Pakistan. She is famous for her ghazal “Waqt aesa koi tujhe par aaye”.
Ranjish.com is the best place to read Humaira Rahat Poetry.



Misaal khaak kahin par bikhar kar dekhte hain..

Humaira Rahat

mar ke dekhte hain

Misaal-e-khaak kahin par bikhar kar dekhte hain,
Qaraar mar kar mile ga to mar kar dekhte hain,

Suna hai khawb kabhi mukammal nahin hote,
Suna hai ishq khataa hai so kar ke dekhte hain,

Kisi ki aankh main dhhal jata hai hamara akss,
Jab aayine main bann-sanwar ke dekhte hain,

Hamare ishq ki meeraas hai bas aik hi khawb,
To aao hum usay tabeer kar ke dekhte hain..



Talluq ki nayi ik rasm ab ijaad karna hai..

Humaira Rahat

Talluq ki nayi ik rasm ab ijaad karna hai,
Na uss ko bhoolna hai aur na us ko yaad karna hai,

Zubaanen katt gayin to kya salaamat ungliyaan to hain,
Dar-o-deewaar pe likh do tumhe fariyaad karna hai,

Sitaara khush-gumaani ka sajaaya hai hatheli pr,
Kisi surat humen to apne dil ko shaad karna hai,

Bana kar ek ghar dil ki zameen pr us ki yaadon ka,
Kabhi abaad karna hai kabhi barbaad karna hai,

Taqaaza waqt ka yeh hai na peeche murr ke dekhen hum,
So hum ko waqt ke iss faissle pr saad karna hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Humaira Rahat.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari