Mirza Hussnain Azam

Ranjish.com has lots of Urdu Mirza Hussnain Azam Poetry. Feel free to add your own Mirza Hussnain Azam Shayari here.

Mirza Hussnain Azam Collection

Mirza Hussnain Azam
1989-

Mirza Hussnain Azam is an upcoming young poet from the city of Jhelum. He has been writing poetry from early years of his life.



Yad hai mujh ko

Mirza Hussnain Azam

Yad hai mujh ko
Wo wasal k din
Jab kaha tha tum ne
Tum mujh ko jo itna satate ho
Meri ankhen naam daikh kar khosh hote ho
Daikhana…
Me bhi tumhen sataon gi…
Tumhari ankhon me anso laon gi…
Aik din tum ko chor jaon gi…
Such kaha tha tum ne…
Choor dia…



Meri bichari hoi ada yad ae gi

Mirza Hussnain Azam

Meri bichari hoi ada yad ae gi
Aik din tujhe meri mohabbat yad ae gi

Hijar ki karwi raton me sone wale
Sohani wasal ki rat yad ae gi

Agg par nange paon chalte chalte
Mere dard ki shidat yad ae gi

Sir rakhate hoe kisi kandhe par
Mere shanon ki khoshboo yad ae gi

Rote rote jab to thak jae gi
Mere ansaon ki qadar yad ae gi

Sorkhi lagate hoe apne labon par
Mere honton ki hidat yad ae gi

Sunae gi jab bhi kisi ko hal-e-dil apna
Mujh par beti hoi dastan yad ae gI

Tohfa laite hoe doston se apne
Meri di hoi pael yad ae gi

Kare gi jab bhi to apni ankhain band
Meri halki si sorat yad ae gi

Kajhal lagate hoe apni ankhon me
Meri ki hoi sataesh yad ae gi

Odhair omari me jane k bad
Apni khoi hoi jawani yad ae gi

Hina lagae gi jab to apne hathon par
Mere naam ki lagi mehnadi yaad ae gi

HUSSNAIN sunte hoe geet raqebon se
Meri sunai hoi ghazal zaror yad ae gi



Use kehna

Mirza Hussnain Azam

Use kehna …
Tum chahe kitna hi jhotala lo…
Tumhari ankhon me…
Ajj bhi mohabbat jhalakti hai…
Use kehna…
K mohabbat ko chahe jitna bhi chopa lon…
Mohabbat chopane se…
Mohabbat chop nahin jati…
Mohabbat mar nahin jati…



Aik pal k lie meri nazron se ojhal ho gea

Mirza Hussnain Azam

Aik pal k lie meri nazron se ojhal ho gea
Ajj lagta hai mera yaar mujh se khafa ho gea

Kiss k age rona roen apni bad naseebi ka
Paya jise duaon k bad wohi yaar mujh se juda ho gea

Tujhe bholane k bad abb yon lagta hai
Jiase aik gholam, gholami se azad ho gea

Dil ki dharkan me teri kami si hoti hai
Abb to yon laga k ye dard hi mera naseeb ho gea

Doston ki roswaiyon se bari chotain khai hain
Me ne jis se bhi hath malaea , wohi khanjar ho gea

Teri sorat daikhane ki kabhi nobat nahin ai
Me to teri serat ka hi dewana ho gea

Aisa nahin hai k aur chehre nahin hain muyasar
Jis ko aik nazar bhi daikh lia, wohi mera dewana ho gea

Me ne chaha tha tujh ko apni zaat se bharh kar
Bus aik yahi amal mera khata ho gea

Wo din bhi tha k tujhe chaha nahin tha
Abb chaha to hadon se bhi par ho gea

HUSSNAIN jis k hathon me hai abb hath mera
Wo rishta hi abb amar ho gea



Hamaisha hi wo mujh par nichawar hoti thi

Mirza Hussnain Azam

Hamaisha hi wo mujh par nichawar hoti thi
Wo larki ! jo mere sath hoti thi

Karti thi bachpana har bat pe wo
Uss ki har ada me aik sharart hoti thi

Ho jata tha me jab bhi ojhal nazron se
Mere lie wo har waqt be chain hoti thi

Mana laita tha me uss ko har bar hi
Jab bhi wo mujh se khafa hoti thi

Har lamha wo rehti thi mri banhon me
Mere jisam ka jaise aik hisa hoti thi

HUSSNAIN soo nahin pata tha me jab bhi kanton k bistar pe
Uss ki aghosh me hi meri subh hoti thi



Modaton k bad daikha wo shakhs dilraba se

Mirza Hussnain Azam

Modaton k bad daikha wo shakhs dilraba se
Ankhon me thi chahat aur chehra khola sa

Daikh k tujh ko aea ye kheal sa
Galabon k chaman me jhonka hawa sa

Pass se guzara to mehak ki phawar sa
Ankhain jhapke to saghar samandar sa

Badan uss ka yon k hath laga to mela sa
Pariyon k sanche me wo chehra dhala sa

Uss k hathon par marmate ka khawab sa
Sari dunia se hai wo alag sa

HUSSNAIN khawabon me dikhe to hai haqeqat sa
Haqeqet me dikhe to hai khawab sa

Modaton k bad daikha wo shakhs dilruba sa
Ankhon me thi chahat aur chehra khola sa



Chalte chalet mil hi jate hain raston me

Mirza Hussnain Azam

Chalte chalet mil hi jate hain raston me
Maqadar jin k likhe hon raston me

Likh kar piar ki kuch lambi dastanain
Phenk ae wo khat onhin raston me

Tujhe sochate hoe abb ghatan si hoti hai
Chor ae hum teri yadon ko raston me

Wo jin se kholta hai hamari khoshiyon ka tala
Chabi phenk ae un ki tere raston me

Pata mil jae mujhe mohabbat ki manzil ka
Me duaen karta rehta hon raston me

Laho daikh kar paon me yee ehsas hoa hai
Kanton k sehra biche the raston me

Abb koi bhi dard mehsos nahin hota
Sare dard chor ae hain raston me

Yee soch kar chal parta tha me yonhi
Kahen dedar ho jae tera raston me

Aa raha hai to milne,bus aik bar keh de
Pholon ki chaderain bicha de gain raston me

HUSSNAIN ye kaisa bachpana hai hamari adat me
Tera intazar karte hain abb bhi raston me



Phir se mohabbat karte hain

Mirza Hussnain Azam

Chalo…
Phir se mohabbat karte hain…
Sabhi khataen bhola daite hain…
Tote hoe rishte jhor laite hain…
Chalo…
Phir se mohabbat karte hain…
Phir se qadam rakhate hain
Mohabbat ki wadi me…
Phir se tham laite hain
Aik dosare ka hath…
Phir se doob jate hain
Khawabon k samandar me…
Phir se jagate hain
Chahat ki hararat ko…
Phir se bana laite hain…
Aik be naam se rishte ko…
Phir se moor daite hain
Larzashon k tofan ko…
Chalo…
Phir se mohabbat karte hain…



December ki amad

Mirza Hussnain Azam

Use kehna…
Bahot aziyat daiti hai…
December ki amad
Use kehna…
Paton k girane ki sansanahat…
Abb bhi teri ahat daiti hai
Use kehna…
Rota hoa asman…
Girtin hoi bijliyan…
Yaad karati hain…
Rafaqat-e-shab mujh ko
Use kehna…
Phir se toor daiti hain…
December ki odas shamain…
Use kehna…
Waqt-e-olafat yad kara k…
Phir khod bhi chor daiti hai
December ki amad…



Aik dhamaka

Mirza Hussnain Azam

Ajj phir…
Aik dhamaka ho ga…
Ajj phir…
Aik bacha bap se mehrom ho ga…
Ajj phir…
Aik orat ka sindaro mitaea jae ga…
Ajj phir…
Aik maa se memta ka haq chena jae ga…
Ajj phir…
Laho ki barish hogi…
Ajj phir…
Zulam ki jeet hogi…
Ajj phir…
Nafrat amar hogi…
Ajj phir…
Barbaraiyat ki intaha hogi…
Ajj phir…
Aman ka gala ghonta jae ga…
Ajj phir…
Ankhon se laho nikale ga…
Ajj phir…
Bain kia jae ga…
Ajj phir…
Darindagi k qabristan me insaniyat dafan hogi…
Ajj phir …
Aman ki zameen par nafrat k bhej boe jaen ge…
Ajj phir…
Watan k sabaz jhande ko laal kia jae ga…
Ajj phir …
Mohabbat k anghan me laho nachora jae ga…
Ajj phir …
Khon ki holi kheli jae gi…
Ajj phir…
Nafrat ki agg obhare gi…
Ajj phir…
Zulam ki andhi chale gi…
Ajj phir…
Islam par ongali othe gi…
Ajj phir…
Mazamat ki jae gi…
Ajj phir…
F.I.R bana kar almari me sajai jae gi…
Ajj phir…
Bare shoq se A.P.C bolai jae gi…
Ajj phir …
Bewaon k sath photo session karai jae gi
Aur agali sawere…
Aik aur dhamaka hoga…


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mirza Hussnain Azam.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari