Iqbal Ashar
Ranjish.com has lots of Urdu Iqbal Ashar Poetry. Feel free to add your own Iqbal Ashar Shayari here.Iqbal Ashar Collection
Iqbal Ashhar is a famous poet of Urdu Shayari from Delhi. Ranjish.com has a good collection of poetry written by him.
silsila khatam hua jalne jalane wala
Iqbal Ashar
silsila khatam hua jalne jalane wala
ab koi khawb nahin neend uRrane wala
yeh woh sehraa hai sujhaye na agar tu rasta
khaak ho jaye yahan khaak uRrane wala
kya kare ankh jo pathrane ki khawhish na kare
khawb ho jaye agar khawb dikhane wala
yaad ata hai ke main khud se yahin bichRra tha
yahi rasta hai tere sheher ko jane wala
ae hawa us se yeh kehna ke salamat hai abhi
tere phoolon ko kitabon main chupane wala
zindagi apni andheron main basar karta hai
tere anchal ko sitaron se sajane wala
sabhi apne nazar ate hain bazahir lekin
roothne wala hai koi na manane wala
le gayin door bohat door hawa-en jis ko
wohi badal tha meri pyas bujhane wala
thehri thehri si tabiyat main rawani ayi
Iqbal Ashar
thehri thehri si tabiyat main rawani ayi
aj phir yaad mohabbat ki kahani ayi
aj phir neend ko ankhon se bichaRrte huye dekha
aj phir yaad koi choTt purani ayi
mudatton baad chala un pe hamara jadu
mudatton baad humen baat banani ayi
mudatton baad pasheman hua dariya se
mudatton baad humen pyas chupani ayi
mudatton baad khuli vusat -e- sehraa hum par
mudatton baad humen khaak uRrani ayi
mudatton baad muyassar hua maan ka anchal
mudatton baad humen neend suhani ayi
itni asani se milti nahin fun ki daulat
Dhal gayi umar to ghazlon pe jawani ayi
Woh kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar..
Iqbal Ashar
Woh kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar,
Aur main nadaan yeh samjha ke woh mera hua..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Iqbal Ashar.