Iqbal Bali

Ranjish.com has lots of Urdu Iqbal Bali Poetry. Feel free to add your own Iqbal Bali Shayari here.

Iqbal Bali Collection

Iqbal Bali is a prominent Urdu Poet from Mianwali, Pakistan. Ranjish.com has a lot of Urdu poetry written by Muhammad Iqbal who also goes by the name of Iqbal Bali.

Iqbal Bali Poetry



zulf lehrayi hai kahin us ki

Iqbal Bali

zulf lehrayi hai kahin us ki
yeh jo kaali ghaTta si lagti hai



zindagi ne jawaaz manga tha

Iqbal Bali

zindagi ne jawaaz manga tha
sau tere gham se dosti kar li



aik kohraam bapaa hai mujhe main

Iqbal Bali

aik kohraam bapaa hai mujhe main
jane kya TooT gaya hai mujh main

tum chale aao bina dastak ke
aik darwaza khula hai mujh main

rang -o- khushbu se bhara rehta hoon
tu hai ya phool khila hai mujh main

zindagi tujh ko hai jana jab se
khauf sa beth gaya hai mujh main

main to raazi tha teri bait par
par koi bol paRra hai mujh main

ab wohi thookta rehta hoon main
tum ne jo zeher bhara hai mujh main

dil ke abaad nagar tha bali
ab to veeran paRra hai mujh main



zeher aesa tha kuch zaban-on main

Iqbal Bali

zeher aesa tha kuch zabaan-on main
teer hote hain jaise kamaan-on main

maazrat hai jo meri baat-on se
farq aaya ho tere shaanon main

woh mohabbat to uTh gayi kab ki
tazkara reh gaya fasaanon main

khud ko dekhoon, tujhe, ke duniya ko
zindagi baTt gayi hai khaanon main

tu nahin hai magar teri awaz
ab bhi rass gholti hai kaan-on main

ab khuda bhi kisi ko yaad nahin
paRr gaye log kin gumaan-on main

daaj pyara hai un ko dulhan se
yeh riwayat hai kuch gharanon main

sheher veeran ho gaya sara
log ab band hain makaan-on main

waizon ki suno magar bali
ungliyan de ke apne kaan-on main



har ghaRri karbala si lagti hai

Iqbal Bali

har ghaRri karbala si lagti hai
zindagi ab saza si lagti hai

baat us ke lab-on se nikle to
narawaa bhi rawaa si lagti hai

dil kisi tarah manta hi nahin
par mujhe bewafa si lagti hai

zulf lehrayi hai zaroor us ki
yeh jo kaali ghaTta si lagti hai

Aesi qismat mili humen yaar-o
jab bhi dekho khafaa si lagti hai

mujhe ko yeh azn shayari bali
mere rab ki ataa si lagti hai



aesi kaali jo raat aye gi

Iqbal Bali

aesi kaali jo raat aye gi
teri zulfon pe baat aye gi

tere daman main Daal doon ga main
gar khushi mere hath aye gi

mujh ko maloom tha yeh pehle se
mere hisse main maat aye gi

saari behes-en samaiTt doon lekin
darmiyan teri zaat aye gi

kaise chal pao ge kaho bali
har qadam par jo ghaat aye gi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Iqbal Bali.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari