Khushbir Singh Shaad

Ranjish.com has lots of Urdu Khushbir Singh Shaad Poetry. Feel free to add your own Khushbir Singh Shaad Shayari here.

Khushbir Singh Shaad Collection

More Khushbir Singh Shaad poetry will be added soon.



Ab andheron main jo hum khauf-zada bethe hain..

Khushbir Singh Shaad

ab andheron main jo hum khauf-zada bethe hain

Ab andheron main jo hum khauf-zada bethe hain,
Kya kahen khud hi charaaghon ko bujha bethe hain,

Bas yehi soch ke taskeen si ho jaati hai,
Aur kuch log bhi duniya se khafaa bethe hain,

Dekh le jan-e-wafaa aaj teri mehfil main,
Ek mujrim ki tarah ehl-e-wafa bethe hain,

Ek hum hain ke parastish pe aqeeda hi nahin,
Aur kuch log yahan ban ke khuda bethe hain,

Shaad tu bazm ke adaab samajhta hi nahin,
Aur bhi log yahan tere siva bethe hain..

kya kahen khud hi charaghon ko bujha bethe hain



Andheron main bhatakna hai pareshani main rehna hai..

Khushbir Singh Shaad

andheron main bhatakna hai

Andheron main bhatakna hai pareshani main rehna hai,
Main jugnuu hoon mujhe ik shab ki veerani main rehna hai,

Abhi kuch zabt ka yaara meri ankhon main baaqi hai,
Abhi ashkon ko palkon ki nigehbaani main rehna hai,

Jo manzar rubaru hai dekh luun ik baar jee bhar ke,
Phir is ke baad to aankhon ko hairaani main rehna hai,

Teri wehshat samajhta hoon ae meri aarzuu lekin,
Tujhe kuch din abhi is dil ki veerani main rehna hai,

Tu phir kyun laut kar har baar aa jati hai saahil pr,
Agar in kashtiyon ko umar bhar paani main rehna hai,

Issi umeed pr to kaat leen yeh mushkilen hum ne,
Ab is ke baad to ae ‘shaad’ aasaani main rehna hai..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Khushbir Singh Shaad.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari