Kiran Waqar

Ranjish.com has lots of Urdu Kiran Waqar Poetry. Feel free to add your own Kiran Waqar Shayari here.

Kiran Waqar Collection

Kiran Waqar is a young Urdu poet from Punjab, Pakistan. Lets all read poetry written by Kiran Waqar.

Kiran Waqar Poetry



main us hawa ke jhonke ko kya naam doon kiran

Kiran Waqar

main us hawaa ke jhonke ko kya naam doon kiran
dastak diye baghair mere ghar main aa gaya



paiRr jo ba-samar nahin hota

Kiran Waqar

paiRr jo ba-samar nahin hota
woh kabhi moatbar nahin hota

dil se jab tak nahin nikalti hai
baat main kuch asar nahin hota

mujh ko manzil kabhi nahin milti
tu agar humsafar nahin hota

aik dar se jo lau lagata hai
woh kabhi darbadar nahin hota

zakham sab ko bhala dikhayen kyun
har koi charagar nahin hota

main kiran bas khuda se Ddarti hoon
mujh ko logon ka Ddar nahin hota



tujh se door hona chahti hoon

Kiran Waqar

tujh se door hona chahti hoon
chain ki neend sona chahti hoon



raat bhar intezar karti rahi

Kiran Waqar

raat bhar intezar karti rahi
main sitare shumaar karti rahi

yaad ati rahi, teri har pal
aur mujhe beqaraar karti rahi

main woh laRrki hoon jo mohabbat par
sare jazbe nisaar karti rahi

us ne dhoke diye mujhe har baar
aur main aitbaar karti rahi

dil ke behlane ko khizaan rut main
zikr -e- fasl -e- bahaar karti rahi

jis ko ana tha woh aa chuka kiran
khud ko main yunhi khuwaar karti rahi


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Kiran Waqar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari