Asrar-ul-Haq (Majaz)

Ranjish.com has lots of Urdu Asrar-ul-Haq (Majaz) Poetry. Feel free to add your own Asrar-ul-Haq (Majaz) Shayari here.

Asrar-ul-Haq (Majaz) Collection



Asmaan tak jo naala pohancha hai..

Asrar-ul-Haq (Majaz)

Phir meri ankh ho gayi namnak

Asmaan tak jo naala pohancha hai,
Dil ki gehrayion se niklaa hai,

Meri nazron main hashar bhi kya hai,
Main ne un ka jalaal dekha hai,

Jalva-e-tur khawb-e-musa hai,
Kis ne dekha hai kis ko dekha hai,

Haye anjaam is safeene ka,
Nakhuda ne jise duboya hai,

Aah kya dil main ab lahuu bhi nahin,
Aaj ashkon ka rang pheeka hai,

Jab bhi ankhen milin un ankhon se,
Dil ne dil ka mizaaj pucha hai,

Woh jawani ke thi hareef-e-tarab,
Aaj barbad-e-jam-o-sahba hai,

Kaun uth kar chala muqabil se,
Jis taraf dekhiye andhera hai,

Phir meri ankh ho gayi namnak,
Phir kisi ne mizaaj pucha hai,

Sach to yeh hai majaz ki duniya,
Husn aur ishq ke sivaa kya hai..

آسماں تک جو نالہ پہنچا ہے - اسرار الحق مجاز



Haan meri mohabbat ka jawab aur zeyada..

Asrar-ul-Haq (Majaz)

asrarul haq majaz poetry

Barbaad-e-tamanna pe itaab aur zeyada,
Haan meri mohabbat ka jawab aur zeyada,

Royen na abhi ehl-e-nazar haal pe mere,
Hona hai abhi mujh ko kharaab aur zeyada,

Awaara o majnoon hi pe moquuf nahin kuch,
Milne hain abhi mujh ko khitaaab aur zeyada,

Uthenge abhi aur bhi tufaan mere dil se,
Dekhoon ga abhi ishq ke khawb aur zeyada,

Tapke ga lahuu aur mere deeda-e-tar se,
Dharrke ga dil-e-khana-kharaaab aur zeyada,

Hogi meri baaton se unhe aur bhi hairat,
Aayega unhe mujh se hijaab aur zeyada,

Usay mutrib-e-bebaak koi aur bhi naghma,
Ay saaqi-e-fayaaz sharaab aur zeyada..



Daffan kar sakta hoon seene main..

Asrar-ul-Haq (Majaz)

Daffan kar sakta hoon seene main tumhare raaz ko,
Aur tum chaho to afsaana bana sakta hoon main..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Asrar-ul-Haq (Majaz).



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari