Manoj Azhar

Ranjish.com has lots of Urdu Manoj Azhar Poetry. Feel free to add your own Manoj Azhar Shayari here.

Manoj Azhar Collection

Manoj Azhar is a young Urdu poet from Moradabad, India.



Doob jaon, ke ubhar aon, ke darya ho jaon..

Manoj Azhar

Doob jaon, ke ubhar aon, ke darya ho jaon,
Aik main, kayi imkaan hain, kya kya ho jaon,

Ab ke bichRre hain to bas jaan pe ban ayi hai,
Ab ke main khud ko bachaa loon to karishma ho jaon,

Koi din tu mujhe dikh jaye kahin aik jhalak,
Koi shab toot ke ro loon to main acha ho jaon,

Aik hawas hi hai jis ne mujhe bachaa rakha hai,
Warna insan se kab ka main farishta ho jaon,

Yun to yeh sara zamana hi tamashai hai,
Tu agar dekhne aye to tamasha ho jaon..



Gham ko inam-e-wafa bhi to nahin keh sakte..

Manoj Azhar

Gham ko inam-e-wafa bhi to nahin keh sakte,
Hum mohabbat ko khataa bhi to nahin keh sakte,

Yehi keh dete hain ab tujh se bichaRr kar khush hain,
Aur kuch is ke siwa bhi to nahin keh sakte,

Sari duniya main jo ik shakhss chuna tha, tu tha,
Ab tujhe khud hi bura bhi to nahin keh sakte..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Manoj Azhar.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari