Mirza Asadullah Ghalib

Ranjish.com has lots of Urdu Mirza Asadullah Ghalib Poetry. Feel free to add your own Mirza Asadullah Ghalib Shayari here.

Mirza Asadullah Ghalib Collection



Na Bazm Apni, Na Saqi Apna…

Mirza Asadullah Ghalib

Na Bazm Apni, Na Saqi Apna,Na Shesha Apna Na jam Apna,
Agr Yahi Hai Nizam-e-Hasti to GHALIB, Zindgi ko Salam Apna…



Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise

Mirza Asadullah Ghalib

Aaina kyu na doon ke tamasha kahe jise
Aisa kaha se laau ke tujhasa kahe jise

Hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal me
Guldasta-e-nigaah suveda kahe jise

Phoonka hai kisne goshe mohabbat mein aye khuda
Afasuun-e-intazar tamanna kahe jise

Sar par hajum-e-dard-e-garibi se daliye
Wo ek musht-e-khak ke sahara kahe jise

Hai chashm-e-tar me hasarat-e-diidar se niha
Shauq-e-ina gusekhta dariya kahe jise

Darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
Sub_h-e-bahar paba-e-miina kahe jise

“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
Aisa bhii koii hai ke sab achchha kahe jise


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mirza Asadullah Ghalib.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari