Mohan Talkh

Ranjish.com has lots of Urdu Mohan Talkh Poetry. Feel free to add your own Mohan Talkh Shayari here.

Mohan Talkh Collection

Manmohan Talkh
1931-2001

Mohan Talkh also known as Manmohan Talkh was an Indian Urdu Poet. We bring you all the Mohan Talkh Poetry right here at Ranjish.com .



Aayen aansu agar anhkon main to bass pee jayen..

Mohan Talkh

hum keyi roz se

Aayen aansu agar anhkon main to bass pee jayen,
Haal sab puuchte hain hum kahin bhi jaayen,

Hum kayi roz se be-wajah bohat khush hain chalo,
Zindagi ki yeh adaayen bhi to dekhi jaayen,

Hum to yuun chup hain ke kya baat kisi se ki jaye,
Phir bhi muu se kayi baaten to nikal hi jayen,

Raah chalte main jise dekhta hoon lagta hai,
Jaise be-wajah si aankhen hain ke taktii jayen,

Kya milen talkhh kisi se kabhi aate jaate,
Ghar ki chaukhat pe qadam rakh ke palatt bhi jayen..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mohan Talkh.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari