Mohsin Bhopali

Ranjish.com has lots of Urdu Mohsin Bhopali Poetry. Feel free to add your own Mohsin Bhopali Shayari here.

Mohsin Bhopali Collection

Mohsin Bhopali was known for his Qataa poetry (stanzas, 2 lines and couplet poetry). Mohsin Bhopali migrated from India to Pakistan, when Pakistan came in to existence. Ranjish.com will try to upload as many of Mohsin Bhopali poetry as possible.

Mohsin Bhopali
1932-2007


Jis ka dard baTTao ge..

Mohsin Bhopali

Jis ka dard baTTao ge,
Us se ranj uTThao ge,

Sab ko dost banao ge,
Sab ko dushman pao ge,

Deewane ko mat samjhao,
Deewane kehlao ge,

Door na jao nazron se,
Duniya main kho jao ge,

Mehfil mehfil chupte ho,
Khalvat khalvat pao ge,

Tan-asani kehti hai,
Mushkil main paRR jao ge,

Mohsin jo samjhate ho,
Khud ko bhi samjhao ge..

جس کا درد بٹاؤ گے - محسنؔ بھوپالی



Ab yeh sochoon to bhanwar zehen main parr jate hain..

Mohsin Bhopali

ab yeh sochoon

Ab yeh sochoon to bhanwar zehen main parr jate hain,
Kaise chehre hain jo milte hi bicharr jatay hain,

Kyun tere dard ko dain tohmat -e- veerani dil,
Zalzlon main to bharay sheher ujarr jatay hain,

Mausam-e-zard main aik dil ko bachaaon kaise,
Aisi rut main to ghanay pairr bhi jharrr jatay hain,

Ab koi kya mere qadmon ke nishaan dhoondhay ga,
Taiz aandhi main to khaimay bhi ukharr jatay hain,

Shidat-e-gham main bhi zinda hoon to hairat kesi,
Kuch diye tund hawaaon main bhi larr jatay hain,

Woh bhi kya log hain Mohsin jo wafa ki khatir,
Khud-taraasheda asoolon pe bhi arr jatay hain..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Mohsin Bhopali.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari