Munawwar Rana
Ranjish.com has lots of Urdu Munawwar Rana Poetry. Feel free to add your own Munawwar Rana Shayari here.Munawwar Rana Collection
Munawwar Rana 1952 |
Munawwar Rana was born in a small town of Uttar Pradesh in India. He is well know for his dominant style in Mushairas and poetic meets.
Munawwar Rana writes his poetry not only in Urdu but in Hindi and Bengali as well.
At Ranjish.com , get all Munawwar Rana Poetry to read and enjoy.
Ab judai ke safar ko mere asaan karo..
Munawwar Rana
Ab judai ke safar ko mere asaan karo,
Tum mujhe khawb main aa kar na pareshan karo..
Almari se khat us ke purane nikal aye..
Munawwar Rana
Almari se khat us ke purane nikal aye,
Phir se mere chehre pe yeh daane nikal aye,
Maan beth ke takti thi jahan se mera rasta,
Mitti ke hattate hi khazaane nikal aye,
Mumkin hai hamen gaaon bhi pehchan na paye,
Bachpan main hi hum ghar se kamane nikal aye,
Ae rait ke zaray tera ehsan bohat hai,
Ankhon ko bhigone ke bahane nikal aye,
Ab tere bulane se bhi hum aa nahin sakte,
Hum tujh se bohat aagay zamane nikal aye,
Ek khauf sa rehta hai mere dil main hamesha,
Kis ghar se teri yaad na jaane nikal aye..
Aap ko chehre se bhi beemaar hona chahiye..
Munawwar Rana
Aap ko chehre se bhi beemaar hona chahiye,
Ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye,
Aap dariyaa hain to phir iss waqt khatre me hain,
Aap kashtii hain to hum ko paar hona chahiye,
Aire-ghaire log bhi parrhne lage hain in donon,
Aap ko aurat nahin akhbaar hona chahiye,
Zindagi to kab talak dar dar phiraayegi humen,
Toota phhoota hi sahi ghar baar hona chahiye,
Apni yaadon se kaho ik din ki chhutti de mujhe,
Ishq ke hisse me bhi itvaar hona chahiye..
Jab bhi dekha mere kirdaar pe dhabba koi..
Munawwar Rana
Jab bhi dekha mere kirdaar pe dhabba koi,
Dair tak beth ke tanhai main roya koi,
Log maazi ka bhi andaaza laga lete hain,
Mujh ko to yaad nahin kal ka bhi qissa koi,
Be’sabbab aankh main aansu nahin aya karte,
Aap se hoga yaqeenan mera rishta koi,
Yaad aane laga aik dost ka bartaao mujhe,
Toot kar gir parra jab shaakh se pata koi,
Baad main sath nibhane ki kasam kha lena,
Dekh lo jalta hua pehle patanga koi,
Us ko sunaa leta hoon ruudad -e-safar,
Raah main jab kabhi mil jata hai apna koi,
Kese samjhe ga bicharrna woh kisi ka Rana,
Toot’te dekha nahin us ne sitaara koi..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Munawwar Rana.