Naseer Turabi

Ranjish.com has lots of Urdu Naseer Turabi Poetry. Feel free to add your own Naseer Turabi Shayari here.

Naseer Turabi Collection

Naseer Turabi
1945-

Naseer Turabi is a famous poet and a song writer from Pakistan. Find beautiful poetry by Naseer Turabi only on Ranjish.com.



Milne ki tarah mujh se woh pal bhar nahin milta..

Naseer Turabi

Milne ki tarah mujh se woh pal bhar nahin milta,
Dil us se mila jis se muqaddar nahin milta..



Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi

Naseer Turabi

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi,
Ke dhoop chaaon ka alam raha judaayi na thi,

Na apna ranj na auron ka dukh na tera malaal,
Shab e firaaq kabhi hum ne yun ganwayi na thi,

Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha,
Shikasta dil thay musaafir shikasta-paayi na thi,

Adawatein theen, taghaful tha, ranjishein theen magar,
Bicharrne wale main sab kuch tha bewafaayi na thi,

Bicharrte waqt un aankhon main thi hamari ghazal,
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi,

Kisse pukaar raha tha wo doobta hua din ?,
Sadaa tou aayi magar koi duhaayi na thi,

Kabhi yeh haal ke donon main yak-dili thi bohat,
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashnayi na thi,

Ajeeb hoti hay raah`e sukhan bhi dekh “naseer”,
Wahan bhi aa gaye akhir jahan rasaayi na thi..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Naseer Turabi.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari