Naseer ud Din Naseer

Ranjish.com has lots of Urdu Naseer ud Din Naseer Poetry. Feel free to add your own Naseer ud Din Naseer Shayari here.

Naseer ud Din Naseer Collection

Naseer ud Din Naseer
1949-2009

Get the best of Naseer ud din Naseer Poetry right here at Ranjish.com . Pir Syed Naseer ud din Naseer(R.A), son of Pir Ghulam Moin ud din was a popular poet from Golra Sharif. Naseer ud Din Naseer was a renowned literary and spiritual personality of Pakistan.
Most of Naseer ud Din Naseer poetry can be categorized as spiritual poetry. We have produced some videos of Naseer ud Din Naseer Poetry too, you will love these awesome videos.



Na aye tujh ko nazar, tu magar udaas na ho..

Naseer ud Din Naseer

Na aye tujh ko nazar’ tu magar udaas na ho
Talash kar’ woh yahin teray aa’s paas na ho

Mujhay yakeen nahin’ uss ko tera paas na ho
Tera gumaan na ho’ ya tera qayaas na ho

Woh aur kya karay akhir’ agar udaas na ho
Beghair ishq na chain aye’ ishq raas na ho

Yeh kis ko log liye ja rahay hain kaandhon par
Kahin yeh shakhs tumhara wafa shanaas na ho

Bicharnay walon ko ik din khuda milata hai
Tujhay hamari kasam’ iss qadar udaas na ho

Yeh bandagi hai’ k har haal main ho shukar us ka
Hazar kuch ho’ magar koi naaspaas na ho

Woh maajra jo hai majnoon k naam se mashoor
Kahin hamaray fasanay ka iktibas na ho

Zia e ilm o hunar se hai aabro e bashar
Yeh roshni to ho’ ujla agar libas na ho

Maza to jab hai k ho baat baat qand o nabaat
Woh baat zeher hai jis baat main mithaas na ho

Hai aik tanz tanz ka nashtar’ dua e umer e daraz
Uss aik shakhs ko’ jeenay ki jis ko aa’s na ho

Naseer khel nahin hai sha’oor e zaat o sifaat
Khuda shanaas kahan woh’ jo khud shanaas na ho..

Watch Video



Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi..

Naseer ud Din Naseer

Meri zindagi to firaaq hai, woh azzal se dil main makeen sahi,
Woh nigaah-e-shoq se door hai, rag-e-jaan se laakh qareen sahi,

Humen jaan deni hai aik din, woh kisi tarah woh kahin sahi,
Humen aap kheenchiye daar pr, jo nahin koi to humii sahi,

Sar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, humen intizaar qabool hai,
Woh kabhi mile woh kahin mile, woh kabhi sahi woh kahin sahi,

Na ho un pe kuch mera bass nahin, ke yeh ashiqui hai havass nahi,
Main unhi ka tha main unhi ka hoon, woh mere nahi to nahi sahi,

Mujhe bethne ki jagha mile, meri aarzuu ka bharam rahe,
Teri anjuman me agar nahin, Teri anjuman ke qareen sahi,

Tera dar to na hum ko mil saka, teri rahguzar ki zameen sahi,
Humen sajdaa karne se kaam hain, jo wahan nahin to yahin sahi,

Meri zindagi ka naseeb hai, nahin door mujh se qareeb hai,
Mujhe uss ka gham to naseeb hai, woh agar nahin to nahin sahi,

Jo ho faisla woh sunaayiye, ussey hashar pr na uthaayiye,
Jo karen ge aap sitam wahan, woh abhi sahi woh yahin sahi,

Unhe dekhne ki jo lau lagi, to Naseer dekh hi lain ge hum,
Woh laakh aankh se door hon, woh hazaar parda-nasheen sahi..

Watch Video


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Naseer ud Din Naseer.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari