Urdu Poets

Ranjish.com has lots of Urdu Urdu Poets Poetry. Feel free to add your own Urdu Poets Shayari here.

Urdu Poets Collection

Urdu Poets are known to be great poets. Urdu Poets and their poetry is extremely popular over the urdu readers. We have collected almost every Urdu Poets Poetry here so you can read these urdu poetry and enjoy.



Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi

Urdu Poets

Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,
Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi

Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey,
Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi

Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazaanay Dekhay,
Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi

Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah,
Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi

Hum Anaa Mast, Tahi Dast Bohat Hain MOHSIN,
Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi……..!



Phir se ankhon main khawab Inshaa Ji ?

Urdu Poets

phir se ankhon main khawb

Phir se ankhon main khawb insha ji,
Ijtinaab, ijtinaab, ijtinaab insha ji..



Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne

Urdu Poets

Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne

Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch
Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ?

Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha
Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne

Maikada Bund Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal
Apni Tauba Ko Chatakh’ta Howa Paya Mein Ne

Shair-o-Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel
Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne



Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi

Urdu Poets

Sochtay Rehnay Ki Aadat Hogayi
Chaunktey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Hijr Ki Raaton K Sung Aankhoun Ko Bhi
Jaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Jaaney Kia Dar Hai K Apnay Aap say
Bhaagtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Nahin Lautey Gaa Phir Kiyoon Rehguzar
Daikhtey Rehnay Ki Aadat Hogayi

Woh Meray Andar Chupa Hay Or Usay
Boltey Rehnay Ki Aadat Hogayi~!



Yehi Nahi Ke Toofan Meri Talaash Mein Hai

Urdu Poets

Yehi Nahi Ke Toofan Meri Talaash Mein Hai
Ke Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai

Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai
Sitaarah-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai

Mein Faislay Ki Ghari Se Guzar Chali Hun
Kisi Ki Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai

Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai
Ke Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai

Mein Teergi Mein Mohabbat Ki Ik Kahani Hun
Koi Charaagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai

Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko
Ke Ik Shaks Pareshaan Meri Talaash Mein Hai



Bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki

Urdu Poets

Aur zeyada bharrkatey ho tum to aag mohabbat ki,
Sozish-e-dil ko aye ashko, Kya khaak bhujana seekhey ho…

(Sozish-e-dil:Heartbreak)(Ashko:Tears)



Farishte se behter hai insaan

Urdu Poets

Farishte se behter hai insaan ban’na,
Magar is mein lagti hai mehnat zeyada..



Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain

Urdu Poets

Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Kartay Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain

Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain

Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain

Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain

Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain

Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain

Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain



Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah

Urdu Poets

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah

Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Raffuu Ki Tarah

Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah

Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye !
Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah

Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman !
Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah

Gham-e-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ?
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah



Mere Baad Dard Ki Daastan

Urdu Poets

Mere Baad Dard Ki Daastan
Tujhe Kon Aa ke Sunaye Ga ?

Mujhe Raastay Mein Khabar Mili
Wo Tou Sheher Hee Se Chala Gaya

Meri Zindagaani Ke Khaar-o-Khas
Koi Jaatay Jaatay Jala Gaya

Mere Ratjago Ko Khabar Karo
Mujhe Neend Aayi Hai Dekhne

Mein Tou Apnay Aap Mein Hee Nahi
Mujhe Mere Haal Pe Chhor Do

Bada Sakht Hai Tera Raasta
Mujhe Meri Raah Pe Mor De

Tujhe Kaisa Lagta Hai Din Dhalay ?
Kisi Dukh Ka Seenay Mein Tootna….!


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Urdu Poets.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari