Rabia Basri

Ranjish.com has lots of Urdu Rabia Basri Poetry. Feel free to add your own Rabia Basri Shayari here.

Rabia Basri Collection



Junoon ke rang main mere lahuu ka rang tha..

Rabia Basri

Us ke junoon ke rang main mere lahuu ka rang tha,
Uss ke dil main bhi zangg tha mere bhi dil main zang tha,

Kuch woh sahii* na ban saka kuch main ghani* na ho saki,
Kuch us ka dil bhi tang tha kuch mera dil bhi tang tha,

Kuch zeezt bekhudi pe thi kuch ishq kaj’rawi pe tha,
Kuch us ko bhi na dhang* tha kuch mujh ko bhi na dhang tha,

Mohabto! gawaah raho kuch nahin tha raah main,
Faqat saamney hamarey anaa ka aik sang tha..

(sahii;person with a big heart, ghani:person with a big heart, dhang:technique, way)



Aansuyon se woh zair-e-aab aaye..

Rabia Basri

Aansuyon se woh zair-e-aab* aaye,
Jin ki raahon mein phir chanaab aaye,

Kal to socha tha bhool jaaon gi,
Aaj tum yaad be-hisaab aaye..

(zair-e-aab;drown)


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Rabia Basri.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari