Saif Uddin Saif

Ranjish.com has lots of Urdu Saif Uddin Saif Poetry. Feel free to add your own Saif Uddin Saif Shayari here.

Saif Uddin Saif Collection

Saif Uddin Saif
1922-1993

A famous poet and a lyricist who was in love with Urdu language. Here are Saifuddin Saif’s best Ghazals, Nazams and Shers.



Garche sau baar hijar se jaan guzri hai..

Saif Uddin Saif

Garche sau baar hijar se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzari hai, kahan guzri hai,

Ap thehre hain to thehra hai nizam-e-aalam,
Ap guzre hain to ik mauj-e-rawan guzri hai,

Hosh main aye to batlaye tera deewana,
Din guzaara hai kahan, raat kahan guzri hai,

Aese lamhe bhi guzare hain teri furqat main,
Jab teri yaad bhi dil pe giraan guzri hai,

Hashar ke baad bhi deewane tere poochte hain,
Woh qayamat jo guzarni thi kahan guzri hai,

Zindagi Saif ke liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishan guzri hai..



Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye..

Saif Uddin Saif

Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke roye,
Mere azmane wale mujhe aazma ke roye,

Koi aesa ehl-e-dil ho ke fasaan-e-mohabbat,
Main usey suna ke roo’un, woh mujhe suna ke roye,

Meri aarzuu ki duniya dil-e-naatwan ki hasrat,
Jese kho ke aaj shaadman they, usey aaj paa ke roye,

Teri bewafaon per, teri kaj’adaaon per,
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi moun chupa ke roye,

Jo suni anjjuman main shab-e-gham ki aap-beeti,
Kayi ro ke muskuraye kayi muskuraa ke roye..

مری داستان_حسرت وہ سنا سنا کے روئے



Umar kesse katti gi saif yahan..

Saif Uddin Saif

umar kese katte gi

Umar kese katte gi Saif yahan,
Raat katt’ti nazar nahin ati..



Gham-e-dil kisi se chupaana parrega..

Saif Uddin Saif

Gham-e-dil kisi se chupaana parrega,
Gharri do gharri muskuraana parrega,

Yeh aalam-e-hasti yeh daur-e-zamaana,
To kya tumhe bhool jaana parrega,

Bohat bachh ke nikle magar kya kkhabar thi,
Idhar bhi tera aastaana parrega,

Abhi munkir -e- ishq hai yeh zamaana,
Jo dekha hai un ko dikhaana parrega,

Chalo mai-kade me basaira hi kar lo,
Na aana parrega na jaana parrega,

Na hoga kabhi faisla kufr o deen ka,
Tumhe rukh se parda hattaana parrega,

Nahin bhoolta “saif” ehad-e-tamanna,
Magar rafta rafta bhulaana parrega..



Garche sau baar gham-e-hijr se jaan guzri hai..

Saif Uddin Saif

Garche sau baar gham-e-hijr se jaan guzri hai,
Phir bhi jo dil pe guzarti thi kahan guzri hai,

Aap thehre hain to thehraa hai nizaam -e- aalam,
Aap guzre hain to ik mauj -e- ravaan guzri hai,

Hosh me aaye to batlaaye tera deewaana,
Din guzaara hai kahaan raat kahan guzri hai,

Aese lamhe bhi guzaare hain teri furqat main,
Jab teri yaad bhi iss dil pe giraan guzrii hai,

Hashar ke baad bhi deewane tere puchte hain,
Woh qayamat jo guzaarni hai kahan guzri hai,

Zindagi “saif” liye qaafila armaanon ka,
Maut ki raat se benaam-o-nishaan guzri hai..



Dilon ko torrne walo tumhe kisi se kya..

Saif Uddin Saif

Dilon ko torrne walo tumhe kisi se kya,
Milo to aankh churaa lo tumhen kisi se kya,

Chamak ke aur barrhao meri siyaah-bakhti,
Kisi ke ghar ke ujaalo tumhen kisi se kya,

Mujhe khud apni nazar me banaa ke begaana,
Jahaan ko apna banaa lo tumhen kisi se kya,

Qareeb-e-nazaa bhi kyun chain le sake koi,
Naqaab rukh se uthaa lo tumhen kisi se kya..



Ab woh saudaa nahin deewanon main..

Saif Uddin Saif

Ab woh saudaa nahin deewanon main,
Khaak urrti hai bayabaanon main,

Gham-e-dauraan ko gila hai mujh se,
Tu hi tu hai mere afsaanon main,

Dil-e-nadaan teri haalat kya hai,
Tu na apnon main na begaanon main,

Bujh gayi shammaa sehar se pehle,
Aag jalti hai rahi parvaano main,

Dil ne chorra na umeedon ka khayal,
Phool khilte rahe viraanon main,

Saif pehluu me yeh aahat gham ki,
Kaun rota hai bayabaanon main..

Watch Video



Aaye they un ke sath nazaare chale gaye..

Saif Uddin Saif

aye they un ke sath nazaare chale gaye

Aaye they un ke sath nazaare chale gaye,
Woh shab woh chandni woh sitaare chale gaye,

Shaayed tumhare saath bhi wapis na aa saken,
Woh valvale jo sath tumhare chale gaye,

Kashti tarrap ke halqa-e-tufaan me reh gayi,
Dekho to kitni duur kinaare chale gaye,

Har aastaan agarche tera aastaan na tha,
Har aastaan pe tujh ko pukaare chale gaye,

Shaam-e-visaal khaana-e-ghurbat se ruuth kar,
Tum kya gaye naseeb hamare chale gaye,

Dekha to phir wahin they chale they jahan se hum,
Kashti ke saath saath kinaare chale gaye,

Mehfil me kis ko taab-e-huzuur-e-jamal thi,
Aaye teri nigaah ke maare chale gaye,

Jaate hujoom -e- hashar me ham aasiyan-e-dehr,
Aey lutf-e-yaar tere sahaare chale gaye,

Dushman gaye to kashmakash -e- dosti gayi,
Dushman gaye ke dost hamaare chale gaye,

Jaate hi un ke “Saif” shab-e-gham ne aa liya,
Rukhsat hua woh chaand sitaare chale gaye..

Watch Video



Hum ko to gardish-e-halaat pe rona aya

Saif Uddin Saif

Hum ko to gardish -e- halaat pe rona aya,
Rone wale tujhe kis baat pe rona aya,

Kese jeete hain yeh, kis tarah jiye jate hain,
Ehl-e-dil ki bassar-aukaat pe rona aaya,

Ji nahin aap se kya shikayat ho gi,
Haan mujhe talkhi -e- halaat pe rona aya,

Hussn-e-maghroor ka yeh rang bhi dekha akhir,
Aakhir un ko bhi kisi baat pe rona aya,

Kese mar mar ke guzaari hai tumhe kya maloom,
Raat bhar taaron bhari raat pe rona aya,

Kitne betaab they rim-jhim main piyen ge lekin,
Aayi barsaat to barsaat pe rona aya,

Hussn ne apni jafaaon pe bahaye aansu,
Ishq ko apni shikayaat pe rona aya,

Kitne anjaan hain kya saadgi se puchte hain,
Kahiye kya meri kissi baat pe rona aya,

Awal awal to bas aik aah nikal jaati thi,
Aakhir aakhir to mulaqaat pe rona aya,

Saif yeh dil to qayamat ki tarah guzra hai,
Jaane kya baat thi, har baat pe rona aya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Saif Uddin Saif.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari