Shahid Kabir

Ranjish.com has lots of Urdu Shahid Kabir Poetry. Feel free to add your own Shahid Kabir Shayari here.

Shahid Kabir Collection

Shahid Kabir Poetry Shahid Kabir
1932-2001

Shahid Kabir was famous Urdu poet from Maharashtra, India. He is known for his famous Ghazal “Thukrao ab ya pyar karo main nashe main hoon” sung by the Ghazal singer Jagjit Singh.



Thukrao ab ke pyar karo main nashe main hoon..

Shahid Kabir

Thukrao ab ke pyar karo main nashe main hoon,
Jo chaho mere yaar karo main nashe main hoon,

Ab bhi dilaa raha hoon yaqeen-e-wafa magar,
Mera na aitbaar karo main nashe main hoon,

Ab tum ko ikhtiyar hai ae ehl-e-karvaan,
Jo raah ikhtiyar karo main nashe main hoon,

Girne do tum mujhe mera saaghar sambhal lo,
Itna to mere yaar karo main nashe main hoon,

Apni jise nahin usay shahid ki kya khabar,
Tum us ka intezar karo main nashe main hoon..

ٹھکراؤ اب کہ پیار کرو میں نشے میں ہوں - شاہد کبیر


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shahid Kabir.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari