Shehzad Nayyar
Ranjish.com has lots of Urdu Shehzad Nayyar Poetry. Feel free to add your own Shehzad Nayyar Shayari here.Shehzad Nayyar Collection
Shehzad Nayyar is a famous Urdu Poet from Lahore, Pakistan. Ranjish.com has lots of urdu poetry written by Shehzad Nayyar.
itni na apne naam ki har suu duhayi de
Shehzad Nayyar
itni na apne naam ki har suu duhaayi de
jitna tujhe main sun sakoon utna sunayi de
mujh ko kisi bhi haal main khalqat ke sath rakh
jin ko khudayi chahiye un ko khudayi de
dekhe ga teergi main koi dil bujha hua
jalta hua charagh to sab ko dikhayi de
main tujh main reh ke khud se bohat door ho gaya
ae yaad-e-yaar ab mujhe mujh tak rasayi de
hum inteha e ishq ke raahi thay yaad kar
ab ranj de raha hai to phir intehayi de
us ka wajood mere tasawur ka maujza
jaisa main us ko soch loon wesa dikhayi de
tujh ko gilaa hai tera muqaddar nahin hua
Shehzad Nayyar
tujh ko gilaa hai tera muqaddar nahin hua
main apne aap ko bhi muyassar nahin hua
hona na hona maine rakha apne hath main
dum bhar jahan main ho gaya dum bhar nahin hua
socha ke apne jism se bahar bhi ho rahoon
main uTh ke khaak se bhi hua par nahin hua
hota raha wohi jo nahin hona chahiye
hona jo chahiye tha woh aksar nahin hua
ghooma to apne aap talak aa ke ruk gaya
main dayera to ho gaya chakkar nahin hua
sab ko dikhayi de gaya woh husn e bezahoor
sab par yeh lutf ho gaya mujh par nahin hua
pathar mizaaj hai to miyan sang e meel ban
jo raste main ho ke bhi Thokar nahin hua
dastak bhi de ke dekh li sar bhi paThakh liya
deewar hi raha woh kabhi dar nahin hua
akhir mujhe saraab ne sairaab kar diya
main jo samandaron se kabhi tar nahin hua
ahista–ro woh aj bhi apni ravish pe hai
sab yaar tez ho gaye nayyar nahin hua
Mere rog ka na malaal kar, mere chaaragar..
Shehzad Nayyar
Mere rog ka na malaal kar, mere chaaragar,
Main barra hua usay paal kar, mere chaaragar,
Sabhi dard chun mere jism se, kisi ism se,
Mera ang ang bahaal kar, mere chaaragar,
Yeh badan ke aarzi ghaao hain, inhe chorr de,
Mere zakhm-e-dil ka khayaal kar, mere chaaragar,
Faqat aik qatraa ashkk mera ilaaj hai,
Mujhe mubtlaa-e-malaal kar, mere chaaragar,
Mujhe apne zakham ki khud bhi koi khabar nahin,
So na mujh se koi sawaal kar mere chaaragar,
Main jahan-e-dard main kho geya, tujhe kya mila,
Mujhe imtihaan main daal kar, mere chaaragar,
Tera haal dekh ke roye ga, tera chaaragar,
Mera dil na dekh nikaal kar, mere chaaragar..
Advertisements
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Shehzad Nayyar.