Tajdeed Qaiser

Ranjish.com has lots of Urdu Tajdeed Qaiser Poetry. Feel free to add your own Tajdeed Qaiser Shayari here.

Tajdeed Qaiser Collection

Tajdeed Qaiser is a young Urdu Poet from Lahore, Pakistan. Tajdeed Qaiser is extremely well known among the literary society and often praised for being well ahead of her age in terms of her poetry standards.
Tajdeed Qaiser ghazals and her shayari is available at Ranjish.com so that poetry lovers can enjoy her writings.

Tajdeed Qaiser



Teri tasveer agar banate hum.

Tajdeed Qaiser

Teri tasveer agar banate hum,
Tere baare main kya batate hum,

Dhoondna hai tujhe andhere main,
Aur dia bhi nahin banate hum,

Asmaanon ki samt uRrte huye,
Apni dharti ke gheet gaate hum,

Koi aesa bhi rasta hota,
Zindagi ke qareeb jate hum..



Teri mitti main mil sakte hain, tujh sa ho nahin sakte..

Tajdeed Qaiser

Teri mitti main mil sakte hain, tujh sa ho nahin sakte,
Teri ankhon se jo ankhen milayen, so nahin sakte,

Tumhare baad aesa kya hua hum ko khuda-jane,
Ke ab hum chaah kar bhi doston ke ho nahin sakte,

Koi rishta nahin rakhte, koi vaada nahin karte,
Yeh baste bojh ban jate hain, aur hum dhho nahin sakte,

Humesha Ddar sa rehta hai kahin phanda na ban jayen,
Teri banhon ki chaadar main zeyada so nahin sakte,

Yahan jungle main koi mor hum tak aa bhi jaye to,
Hum ab ki baar apna-aap shayad kho nahin sakte,

Khushi ke sath us ne baat karni hai bichaRrne ki,
Sau hum to aakhri jumle se pehle ro nahin sakte..



Hum ne tasveer jo bana li hai..

Tajdeed Qaiser

Hum ne tasveer jo bana li hai,
Kuch haqeeqat hai kuch khayali hai,

Tum udhar subah ghar se nikle thay,
Aur idhar shaam hone wali hai,

Dekhte dekhte mujhe us ne,
Chaaye t-shirt par giraa li hai,

Dhoondti hain tujhe meri ankhen,
Aur dhaRrkan teri sawali hai..



Sochti hai kabhi kabhi duniya..

Tajdeed Qaiser

Sochti hai kabhi kabhi duniya,
Rabt purana hai aur nayi duniya,

Mujh ko phir se haseen lagne lagi,
Us ne is tarah paish ki duniya,

Jab talak tere khawb aate rahe,
Khoobsurat paRri lagi duniya,

Tere hathon se chhuu liya mahtaab,
Teri ankhon se dekh li duniya,

Mujh ko apni samajh nahin aati,
Aur upar se yeh teri duniya..



Jahan par dosti ho us jagah anaayen kya..

Tajdeed Qaiser

Jahan par dosti ho us jagah anaayen kya,
Kahe agar tere pairon main beth jayen kya,

Jo naao paar gayi laut kar nahin aati,
Jo shakhss doob gaya hai usse bachayen kya,

Kisi ki yaad main jaagen sitare dekhen hum,
Sulag raha hai jo cigarette usse bhujayen kya,

Tumhare baad koi zakham kyun karen taaza,
Guzar chuka hai jo us par lahuu bahayen kya,

Kisi ki neend meri neend kese ho jaye,
Kisi ke khawb meri ankh main samayen kya..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Tajdeed Qaiser.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari