Usama Zoraiz

Ranjish.com has lots of Urdu Usama Zoraiz Poetry. Feel free to add your own Usama Zoraiz Shayari here.

Usama Zoraiz Collection

Usama Zoraiz is a young Urdu poet from Pakistan. He is known for his ghazal shayari.



Tamam khawhishen puri hon, aab-o-dana ho..

Usama Zoraiz

tamam khawhishen puri hon, aab-o-dana ho,
ab is main dil nahin lagta naya zamana ho,

kisi ki salgirah ho kisi ki barsi par,
kisi ka noha kisi aur ka tarana ho,

tamam gaon ikatha ho aik station par,
aur aik shakhss udhar sheher se rawana ho,

usi se poocho sharayet ke jis ke daryaa hain,
woh kya kare ke jise kuch na kuch ugana ho,

kisi se milne ki jaldi bhi ho humen zoraiz,
aur aik jalta hua sheher bhi bachana ho..



Tere talash ke maaron ki neend puri ho..

Usama Zoraiz

tere talash ke maaron ki neend puri ho,
zara to beth ke pairon ki neend puri ho,

jo aik jaage to dono ko iztiraab rahe,
jo aik soye to dono ki neend puri ho,

khuda to chahe ga khawbon main sab rahen masroof,
khuda to chahe ga bandon ki neend puri ho,

usi ki marzi hai kitnon ko chowkidaar rakhe,
usi ki marzi hai kitnon ki neend puri ho,

yeh roti pani ka jhagRra hai aur logon ka,
main chahta hoon ke logon ki neend puri ho,

visal kar ke judai ka naam tak na rahe,
phir itna jagain ke barson ki neend puri ho,

tera bichaRrna ke bas jagne ki doori pe hai,
to kaise khauf ke maaron ki neend puri ho..



Yeh dukh nahin ke sheher main mera koi nahin.

Usama Zoraiz

yeh dukh nahin ke sheher main mera koi nahin,
yeh dukh ki baat hai ke kisi ka koi nahin,

uss ka bichaRrna le gaya hiss-e-mazaah tak,
hansne ki baat karta hoon hansta koi nahin,

zulm hota dekhne walon ki saff main hain,
afsos is hujoom main andha koi nahin,

lagta hai woh to sheheron ka ho kar hi reh gaya,
halanke janta tha ke hamara koi nahin,

din kya hua ke bhaag paRre daftron ki samt,
zoraiz sair-gahon main hota koi nahin..



Tere baghair tere sath aik jaise thay..

Usama Zoraiz

tere baghair tere sath aik jaise thay,
ke hijr o vasl ke lamhaat aik jaise thay,

phir aik din woh sahar-khaiz mere pas aya,
wagarna mere bhi din raat aik jaise thay,

bichaRrne wale kisi aur ka kaha mat maan,
ke tere mere khayalaat aik jaise thay,

na chahne pe bhi aik dusre ke ho hi gaye,
dua alag thi magar hath aik jaise thay,

phir us ke baad khabar ayi woh bohat khush hai,
Juda huye thay to halaat aik jaise thay..


Advertisements

We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Usama Zoraiz.



love shayari romantic shayari sad shayari nazam shayari